markaz
ik ahl-e-nazar ne
ye ham se kahā thā
ki markaz se
rishte ko mazbūt rakhnā
misāl aisī sachchī khulī us ne dī thī
ki pattā
koī TuuT jaa.e shajar se
utar jā.egā vo
har ik kī nazar se
Thikāna
na us ko milegā kahīñ par
bhaTaktā phiregā
vo rū-e-zamīñ par
ik ahl-e-nazar ne
ye ham se kahā thā
ki markaz se
rishte ko mazbūt rakhnā
ek ahl-e-nazar ne
ye hum se kaha tha
ki markaz se
rishte ko mazbut rakhna
misal aisi sachchi khuli us ne di thi
ki patta
koi TuT jae shajar se
utar jaega wo
har ek ki nazar se
Thikana
na us ko milega kahin par
bhaTakta phirega
wo ru-e-zamin par
ek ahl-e-nazar ne
ye hum se kaha tha
ki markaz se
rishte ko mazbut rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.