marna ya jina achchha hai
ye mas.ala hai darpesh yahāñ marnā yā jiinā achchhā hai
hastī kā zahr-bharā sāġhar toḌeñ yā piinā achchhā hai
taqdīr se shikva lāzim hai yā chup hī rahnā achchhā hai
māhaul se Takkar lī jaa.e yā sadma sahnā achchhā hai
kyā maut ke mīThe sharbat ko hoñToñ se lagānā achchhā hai
yā ranj-o-alam ko sah lenā ġham meñ ghul jaanā achchhā hai
ham maut ke mīThe sāġhar ko hoñToñ se lagā to sakte haiñ
ham ḳhaak ke bistar par so kar har ġham ko bhulā to sakte haiñ
lekin is maut kī vaadī meñ jā kar kyā jaane kyā hogā
vo vaadī kis ne dekhī hai us kā manzar kaisā hogā
ye soch ke chup rah jaate haiñ dukh sahte haiñ ġham khāte haiñ
is ranj-o-alam kī bastī meñ aise hī din kaT jaate haiñ
ye sabr na ho to duniyā meñ āfāt gavārā kaun kare
har roz kī zahmat kaun sahe har baat gavārā kaun kare
jābir kā tashaddud sahte haiñ ulfat meñ dhokā khāte haiñ
jo ham se nafrat karte haiñ ham un ke naaz uThāte haiñ
hākim chāhe jaisā bhī ho ham us kī latāḌeñ sahte haiñ
ġhairat ko Thokar lagtī hai dil hī meñ kuḌhte rahte haiñ
andher hai kaisā duniyā meñ us ke qānūn nirāle haiñ
yā-rab ye kaisī duniyā hai kaise ye duniyā vaale haiñ
kam-zarf kamīne logoñ ne har jānib Dere Daale haiñ
bāhar se to ye sab achchhe haiñ lekin andar se kaale haiñ
bad-zauq kamīne logoñ se ham jaan chhuḌā to sakte haiñ
hastī kī har ek musībat se chhuTkārā pā to sakte haiñ
in sab kā maut ilaaj to hai lekin mar kar bhī kyā hogā
mar kar bhī chain agar na milā phir kaisā haal apnā hogā
jiine se marnā āsāñ hai lekin majbūr haiñ jiine par
hastī kā sāġhar kaḌvā hai lekin majbūr haiñ piine par
ye duniyā ham ne dekhī hai duniyā kī jafā.eñ dekhī haiñ
us duniyā kā kuchh ilm nahīñ is kī to balā.eñ dekhī haiñ
ye soch ke ham is duniyā meñ āfāt gavārā karte haiñ
dukh sahte haiñ ġham sahte haiñ har baat gavārā karte haiñ
ye masala hai darpesh yahan marna ya jina achchha hai
hasti ka zahr-bhara saghar toDen ya pina achchha hai
taqdir se shikwa lazim hai ya chup hi rahna achchha hai
mahaul se Takkar li jae ya sadma sahna achchha hai
kya maut ke miThe sharbat ko honTon se lagana achchha hai
ya ranj-o-alam ko sah lena gham mein ghul jaana achchha hai
hum maut ke miThe saghar ko honTon se laga to sakte hain
hum KHak ke bistar par so kar har gham ko bhula to sakte hain
lekin is maut ki wadi mein ja kar kya jaane kya hoga
wo wadi kis ne dekhi hai us ka manzar kaisa hoga
ye soch ke chup rah jate hain dukh sahte hain gham khate hain
is ranj-o-alam ki basti mein aise hi din kaT jate hain
ye sabr na ho to duniya mein aafat gawara kaun kare
har roz ki zahmat kaun sahe har baat gawara kaun kare
jabir ka tashaddud sahte hain ulfat mein dhoka khate hain
jo hum se nafrat karte hain hum un ke naz uThate hain
hakim chahe jaisa bhi ho hum us ki lataDen sahte hain
ghairat ko Thokar lagti hai dil hi mein kuDhte rahte hain
andher hai kaisa duniya mein us ke qanun nirale hain
ya-rab ye kaisi duniya hai kaise ye duniya wale hain
kam-zarf kamine logon ne har jaanib Dere Dale hain
bahar se to ye sab achchhe hain lekin andar se kale hain
bad-zauq kamine logon se hum jaan chhuDa to sakte hain
hasti ki har ek musibat se chhuTkara pa to sakte hain
in sab ka maut ilaj to hai lekin mar kar bhi kya hoga
mar kar bhi chain agar na mila phir kaisa haal apna hoga
jine se marna aasan hai lekin majbur hain jine par
hasti ka saghar kaDwa hai lekin majbur hain pine par
ye duniya hum ne dekhi hai duniya ki jafaen dekhi hain
us duniya ka kuchh ilm nahin is ki to balaen dekhi hain
ye soch ke hum is duniya mein aafat gawara karte hain
dukh sahte hain gham sahte hain har baat gawara karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.