marne ka KHauf
Interesting Fact
(Funun, July-August 1973)
sar-zamīn-e-tamannā kī miTTī salāḳheñ ugāne lagī hai
giraftār hone kā mausam
sar-e-qarya-e-ārzū
āftāb-e-halākat kī sūrat chamakne lagā hai
shuāoñ ke nokīle panjoñ ne jismoñ ko zaḳhmī kiyā hai
bhañvar dar bhañvar raushnī ke samundar
tūfān qaidī hue
ye bastī gunāhoñ se ma.amūr āfat-rasīdoñ kī bastī hai
nau-zā.ida aarzū intihāoñ ke imkāñ sameTe
zamīroñ meñ luthḌī jarā.em-zada ḳhvāhishoñ ko
miTā.e to kaise
ragoñ ke darīchoñ se lipTī fasīloñ ko rezoñ kī sūrat
havā meñ uchhāle to kaise
ki us kā navishta faqat az-sar-e-nau giraftār honā
ne dā.eroñ ke tasallut meñ jiinā
siyāhī ke bātin meñ maujūd ġhāroñ meñ rahnā
halākat kī sar-chashma-gāhoñ se
āzād rahne kī azmat se vāqif havāo
hamārī fasīloñ kī jānib bhī aao
hameñ ye batāo
giraftār honā hamārā navishta nahīñ thā
irādoñ meñ maujūd tauq-o-salāsil
havasnāk dahshat
tamannā kī miTTī meñ faulād hote rahe haiñ
ḳhud apnī tavānā haqīqat
giraftār karne se qāsir rahe maiñ
sar-zamin-e-tamanna ki miTTi salaKHen ugane lagi hai
giraftar hone ka mausam
sar-e-qarya-e-arzu
aaftab-e-halakat ki surat chamakne laga hai
shuaon ke nokile panjon ne jismon ko zaKHmi kiya hai
bhanwar dar bhanwar raushni ke samundar
tufan qaidi hue
ye basti gunahon se mamur aafat-rasidon ki basti hai
nau-zaida aarzu intihaon ke imkan sameTe
zamiron mein luthDi jaraem-zada KHwahishon ko
miTae to kaise
ragon ke darichon se lipTi fasilon ko rezon ki surat
hawa mein uchhaale to kaise
ki us ka nawishta faqat az-sar-e-nau giraftar hona
ne daeron ke tasallut mein jina
siyahi ke baatin mein maujud ghaaron mein rahna
halakat ki sar-chashma-gahon se
aazad rahne ki azmat se waqif hawao
hamari fasilon ki jaanib bhi aao
hamein ye batao
giraftar hona hamara nawishta nahin tha
iradon mein maujud tauq-o-salasil
hawasnak dahshat
tamanna ki miTTi mein faulad hote rahe hain
KHud apni tawana haqiqat
giraftar karne se qasir rahe main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.