marne wale se jalan
zarā sā ġham nahīñ chehre pe in ke
miyāñ sar par koī rūmāl hī rakh lo
inheñ to maut aanā hī nahīñ hai
vahī ta.ane
vahī fiqre
abhī tak merā pīchhā kar rahe haiñ har janāze meñ
maiñ apnī chaal kī raftār thoḌī aur kam kar ke
nikal aatā huuñ bāhar bhiiḌ se
aur ruk ke ik dukān par cigarette jalātā huuñ
janāza duur hotā jā rahā hai
ye sab kyā hai?
adākārī nahīñ aatī mujhe to kyā karūñ maiñ
aur sachchī baat kah duuñ to mujhe pāgal samajh legī ye duniyā
haañ ye sach hai
mujhe rattī barābar ġham nahīñ hotā kisī kī maut kā
aur ye bhī sun lo
mirī jis muskurāhaT par yahāñ nārāz haiñ sab
sabab is kā jalan hai
jo maiñ mahsūs kartā huuñ kisī bhī marne vaale se
kuḌhan hotī hai mujh ko soch kar
ki maiñ jis imtihāñ ke ḳhauf se behāl aur be-chain phirtā huuñ
vo ye sāhab
jo kāñdhoñ par haiñ
un kā ho chukā
aur merā baaqī hai
zara sa gham nahin chehre pe in ke
miyan sar par koi rumal hi rakh lo
inhen to maut aana hi nahin hai
wahi tane
wahi fiqre
abhi tak mera pichha kar rahe hain har janaze mein
main apni chaal ki raftar thoDi aur kam kar ke
nikal aata hun bahar bhiD se
aur ruk ke ek dukan par cigarette jalata hun
janaza dur hota ja raha hai
ye sab kya hai?
adakari nahin aati mujhe to kya karun main
aur sachchi baat kah dun to mujhe pagal samajh legi ye duniya
han ye sach hai
mujhe ratti barabar gham nahin hota kisi ki maut ka
aur ye bhi sun lo
meri jis muskurahaT par yahan naraaz hain sab
sabab is ka jalan hai
jo main mahsus karta hun kisi bhi marne wale se
kuDhan hoti hai mujh ko soch kar
ki main jis imtihan ke KHauf se behaal aur be-chain phirta hun
wo ye sahab
jo kandhon par hain
un ka ho chuka
aur mera baqi hai
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 149)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.