marsiya hazrat-e-beKHud dehlawi
ghir ke kyoñ aa.e haiñ yuuñ ranj-o-alam
shaam ye kyoñ ban ga.ī hai shām-e-ġham
jā rahā hai kaun ye oḌhe kafan
ro rahe haiñ kis ko sab ahl-e-suḳhan
haal hai abtar suḳhan ke baaġh kā
daaġh hai ye jānashīn-e-'dāġh' kā
ho ga.ī hai aaj urdu kyoñ udaas
mātamī hai kis liye is kā libās
kaun hogā is zabāñ kā pāsbāñ
kaun ab bolegā dillī kī zabāñ
sher sun kar kis kā hoñge shād-kām
kaun samjhā.egā lafzoñ kā maqām
ḳhāmiyoñ par kis ko ġhussa aa.egā
kaun mohmal lafz par jhallā.egā
ik sadī ke inqilāboñ kā bayāñ
kaun dohrā.egā ab vo dāstāñ
be-ḳhudī to saath 'beḳhud' ke ga.ī
rah ga.ī hai hosh kī fitnagarī
qaum par hotā hai ik saaya adiib
mulk kā hotā hai sarmāya adiib
ḳhidmat-e-sher-o-adab kartā hai vo
maut aane se nahīñ martā hai vo
kaun kahtā hai ki 'beḳhud' mar ga.e
naam lā-fānī vo paidā kar ga.e
thak ga.e the umr bhar ke kaam se
so rahe haiñ qabr meñ ārām se
ghir ke kyon aae hain yun ranj-o-alam
sham ye kyon ban gai hai sham-e-gham
ja raha hai kaun ye oDhe kafan
ro rahe hain kis ko sab ahl-e-suKHan
haal hai abtar suKHan ke bagh ka
dagh hai ye jaanashin-e-'dagh' ka
ho gai hai aaj urdu kyon udas
matami hai kis liye is ka libas
kaun hoga is zaban ka pasban
kaun ab bolega dilli ki zaban
sher sun kar kis ka honge shad-kaam
kaun samjhaega lafzon ka maqam
KHamiyon par kis ko ghussa aaega
kaun mohmal lafz par jhallaega
ek sadi ke inqilabon ka bayan
kaun dohraega ab wo dastan
be-KHudi to sath 'beKHud' ke gai
rah gai hai hosh ki fitnagari
qaum par hota hai ek saya adib
mulk ka hota hai sarmaya adib
KHidmat-e-sher-o-adab karta hai wo
maut aane se nahin marta hai wo
kaun kahta hai ki 'beKHud' mar gae
nam la-fani wo paida kar gae
thak gae the umr bhar ke kaam se
so rahe hain qabr mein aaram se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.