marsiya
hūreñ mileñgī soch ke be-maut mar gayā
ummat ko apnī saath meñ badnām kar gayā
nādān ḳhud-kushī ko shahādat samajh ke uf
maz.hab meñ jo harām hai vo kaam kar gayā
be-āsrā hue haiñ buḌhāpe meñ vāldain
ghar kā charāg ghar meñ añdherā hai kar gayā
allāh ne jo zindagī kī thī atā use
us ko miTā ke ḳhud ko sazā-vār kar gayā
ma.asūm bekasoñ kā thā āḳhir qusūr kyā
jin ko halāk yā vo apāhij hai kar gayā
sunnī thā vo ki shii.ā thā mat pūchh ai imaam
paḌh fātiha ki ek musalmān mar gayā
huren milengi soch ke be-maut mar gaya
ummat ko apni sath mein badnam kar gaya
nadan KHud-kushi ko shahadat samajh ke uf
mazhab mein jo haram hai wo kaam kar gaya
be-asra hue hain buDhape mein waldain
ghar ka charag ghar mein andhera hai kar gaya
allah ne jo zindagi ki thi ata use
us ko miTa ke KHud ko saza-war kar gaya
masum bekason ka tha aaKHir qusur kya
jin ko halak ya wo apahij hai kar gaya
sunni tha wo ki shia tha mat puchh ai imam
paDh fatiha ki ek musalman mar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.