masafaton ke sarab ka alamiya
dard ke shahr se
jab chale qāfile
ibtilāoñ kī pūñjī sameTe hue
hasratoñ ke nagīne damakte the talvār palkoñ pe
zaḳhmoñ ke gulzār the dil ke āñgan meñ
aur mish.aleñ zehn meñ jal rahī thiiñ ka.ī
kuchh alaav ki āñkhoñ meñ jalte rahe aur bujhte rahe
āgahī jo tazabzub kī daldal meñ thī dam-ba-ḳhud
shauq kā haath pakḌe nikal aa.ī thī kāmrāñ
paañv meñ aable
zehn meñ bijliyāñ
jab rukī ḳhuuñ kī bārish havāoñ ke pur-haul sho.ale bhī maddham hue aur dhueñ kī kasāfat chhaTī
tab kahīñ
sukh ke gaañv pe nazroñ kī kirneñ paḌīñ
jis meñ tamkīn-e-ġham azm kī rif.atoñ se gale mil ke ta.amīr-e-āsūdgī kar rahī thī
dard ke chāñd chamke to socheñ jilā pā ga.iiñ
dil ke zaḳhmoñ ne jazboñ ke phūloñ ko ik lazzat-e-tāzgī dī
to ham
apnī saarī thakan kulfateñ bhuul kar shaam hone se pahle
surḳh-rū ārzūoñ ke sehre sajā.e
ghar ke āñgan meñ pahuñche to maañ kī nigāhoñ se shafqat kī āyāt kirnoñ kī sūrat utarne lagī thiiñ
ham ne maañ ke qadam chuum kar ḳhud ko paayā
to ik ālam-e-nau janam le rahā thā
jahāñ sāñvle mausamoñ kī salonī rutoñ kī bashārat thī
raushan khilī dhuup thī aur taaza havā.eñ na.ī fasl-e-gul kī payambar banī thiiñ
ki phir chand logoñ ne
maañ kī ridā noch kar muñh pe sūraj ke maarī
to maañ ne baḌe karb se ham ko dekhā
magar ham ki jo garm ḳhuuñ ke bhī vāris the sach kī gavāhī the aur hurmatoñ ke amiiñ the
ajab taur se sar-nigūñ aur sākit khaḌe the
ḳhudā jaane kyā sochte the
dard ke shahr se
jab chale qafile
ibtilaon ki punji sameTe hue
hasraton ke nagine damakte the talwar palkon pe
zaKHmon ke gulzar the dil ke aangan mein
aur mishalen zehn mein jal rahi thin kai
kuchh alaw ki aankhon mein jalte rahe aur bujhte rahe
aagahi jo tazabzub ki daldal mein thi dam-ba-KHud
shauq ka hath pakDe nikal aai thi kaamran
panw mein aable
zehn mein bijliyan
jab ruki KHun ki barish hawaon ke pur-haul shoale bhi maddham hue aur dhuen ki kasafat chhaTi
tab kahin
sukh ke ganw pe nazron ki kirnen paDin
jis mein tamkin-e-gham azm ki rifaton se gale mil ke tamir-e-asudgi kar rahi thi
dard ke chand chamke to sochen jila pa gain
dil ke zaKHmon ne jazbon ke phulon ko ek lazzat-e-tazgi di
to hum
apni sari thakan kulfaten bhul kar sham hone se pahle
surKH-ru aarzuon ke sehre sajae
ghar ke aangan mein pahunche to man ki nigahon se shafqat ki aayat kirnon ki surat utarne lagi thin
hum ne man ke qadam chum kar KHud ko paya
to ek aalam-e-nau janam le raha tha
jahan sanwle mausamon ki saloni ruton ki bashaarat thi
raushan khili dhup thi aur taza hawaen nai fasl-e-gul ki payambar bani thin
ki phir chand logon ne
man ki rida noch kar munh pe suraj ke mari
to man ne baDe karb se hum ko dekha
magar hum ki jo garm KHun ke bhi waris the sach ki gawahi the aur hurmaton ke amin the
ajab taur se sar-nigun aur sakit khaDe the
KHuda jaane kya sochte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.