masala
Interesting Fact
This poem was written for Fehmida Riaz. There is also a collection of poems by Fehmida Riaz called "Patthar ki Zaban".
''patthar kī zabāñ'' kī shā.era ne
ik mahfil-e-sher-o-shā.erī meñ
jab nazm sunāte mujh ko dekhā
kuchh soch ke dil meñ muskurā.ī
jab mez par ham mile to us ne
baḌh kar mire haath aise thāme
jaise mujhe khojtī ho kab se
phir mujh se kahā ki aaj, 'parvīn'!
jab sher sunāte tum ko dekhā
maiñ ḳhud ko bahut hī yaad aa.ī
vo vaqt ki jab tumhārī sūrat
maiñ bhī yūñhī sher kah rahī thī
likhtī thī isī tarah kī nazmeñ
par ab to vo saarī nazmeñ ġhazleñ
guzre hue ḳhvāb kī haiñ bāteñ!
maiñ sab ko Disown kar chukī huuñ!
''patthar kī zabāñ'' kī shā.era ke
chambelī se narm haath thāme
''ḳhushbū'' kī safīr sochtī thī
dar-pesh havāoñ ke safar meñ
pal pal kī rafīq-e-rāh mere
andar kī ye sāda-lauh 'Alice'
hairat kī jamīl vādiyoñ se
vahshat ke muhīb jañgaloñ meñ
aa.egī to us kā phūl-lahja
kyā jab bhī sabā-nafas rahegā!?
vo ḳhud ko Disown kar sakegī!?
patthar ki zaban ki shaera ne
ek mahfil-e-sher-o-shaeri mein
jab nazm sunate mujh ko dekha
kuchh soch ke dil mein muskurai
jab mez par hum mile to us ne
baDh kar mere hath aise thame
jaise mujhe khojti ho kab se
phir mujh se kaha ki aaj, 'parwin'!
jab sher sunate tum ko dekha
main KHud ko bahut hi yaad aai
wo waqt ki jab tumhaari surat
main bhi yunhi sher kah rahi thi
likhti thi isi tarah ki nazmen
par ab to wo sari nazmen ghazlen
guzre hue KHwab ki hain baaten!
main sab ko Disown kar chuki hun!
patthar ki zaban ki shaera ke
chambeli se narm hath thame
KHushbu ki safir sochti thi
dar-pesh hawaon ke safar mein
pal pal ki rafiq-e-rah mere
andar ki ye sada-lauh 'Alice'
hairat ki jamil wadiyon se
wahshat ke muhib jangalon mein
aaegi to us ka phul-lahja
kya jab bhi saba-nafas rahega!?
wo KHud ko Disown kar sakegi!?
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(khushbo) (Pg. 178)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.