Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masarrat hoti hai

Kaif Ahmed Siddiqui

masarrat hoti hai

Kaif Ahmed Siddiqui

MORE BYKaif Ahmed Siddiqui

    jab class se teacher jaate haiñ to kitnī masarrat hotī hai

    ham mil kar shor machāte haiñ to kitnī masarrat hotī hai

    chhuTTī ijāzat milte ham jail ke ik qaidī tarah

    schōl se bāhar aate haiñ to kitnī masarrat hotī hai

    jis vaqt paḌhāte haiñ teacher dil kitnā pareshāñ hotā hai

    lekin jab khel khilāte haiñ to kitnī masarrat hotī hai

    jab ham ko kisī picnic ke liye schōl jānib se aksar

    ustād kahīñ le jaate haiñ to kitnī masarrat hotī hai

    darje meñ paḌhāte vaqt aksar jab mere savāloñ par yaaro

    ustād bhī chakkar khāte haiñ to kitnī masarrat hotī hai

    bāzār se kar mere liye har maah mire pyāre paapā

    bachchoñ risāla laate haiñ to kitnī masarrat hotī hai

    in darsī kitāboñ meñ ham ko kuchh lutf nahīñ miltā lekin

    jab 'kaif' nazmeñ gaate haiñ to kitnī masarrat hotī hai

    jab class se teacher jate hain to kitni masarrat hoti hai

    hum mil kar shor machate hain to kitni masarrat hoti hai

    chhuTTi ki ijazat milte hi hum jail ke ek qaidi ki tarah

    school se bahar aate hain to kitni masarrat hoti hai

    jis waqt paDhate hain teacher dil kitna pareshan hota hai

    lekin jab khel khilate hain to kitni masarrat hoti hai

    jab hum ko kisi picnic ke liye school ki jaanib se aksar

    ustad kahin le jate hain to kitni masarrat hoti hai

    darje mein paDhate waqt aksar jab mere sawalon par yaro

    ustad bhi chakkar khate hain to kitni masarrat hoti hai

    bazar se ja kar mere liye har mah mere pyare papa

    bachchon ka risala late hain to kitni masarrat hoti hai

    in darsi kitabon mein hum ko kuchh lutf nahin milta lekin

    jab 'kaif' ki nazmen gate hain to kitni masarrat hoti hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now