mashq
barsoñ ba.ad bar-nok-e-zabān rahtā hai koī sher
phir ek din
us ke jaane pahchāne hazār martaba dohrā.e hue alfāz ke andar
khul jaatā hai ma.ānī kā ek nayā darvāza
aur rah jaate haiñ ham hakka-bakkā
jis mafhūm par sar dhunte aa.e the kal tak kitnā sat.hī kitnā adhūrā thā vo
shukr karte haiñ ki nahīñ pūchh liyā kisī ne ham se is sher kā matlab
satya-nās kar Dālte achchhe bhale sher kā in na.e ma.ānī ke baġhair ham
yahī kuchh hotā hai zindagī meñ pesh aane vaale
vāqi.āt o hādsāt ke saath bhī
jo kuchh biit gayā aur biit rahā hai ham par
der tak raaz hī nahīñ khultā us kī ahmiyat kā
be-maqsad ho rahā hai ye sab kuchh
yā is kā hamāre mustaqbil aur muqaddar se bhī ta.alluq hai kuchh
phir parda sā haTtā hai aur ho jaate haiñ ham ġharq-e-hairat
kitnā mahdūd thā hamārā naqd-e-ilm
aur kin muġhālitoñ meñ paḌe hue the ham
mujhe to ḳhūgar sā banā diyā hai roz-marra kī is hairānī o pareshānī ne
na.e se nayā sadma sahne ko tayyār rahtā huuñ sub.h o shaam
apnī jahālat ke inkishāf par
one-day cricket to shauq se dekhte haiñ aap bhī
yuuñ samajhiye ki mashq thā guzishta kal kā match aaj ke match kī
mashq hai aaj kā match aane vaale kal ke liye
aur kal jo match hogā apnī jagah vo final hī kyuuñ na ho
mashq hogā parsoñ ke match kī
haDDiyāñ gal ga.iiñ itnī saada sī baat samajhte samajhte
ki har din tulū hotā hai apne saath ek nayā savāl ek nayā challenge le kar
aur mutāliba kartā hai ham se ek na.e javāb ek na.e tarz-e-amal kā
na to zindagī hī jāmid hai na zindagī kā ḳhāliq ḳhudā
zindagī bahte dariyā kī tarah badaltī rahtī hai har lahza qā.em-o-dā.em rahte hue
aur nit-na.ī taḳhlīq meñ masrūf ḳhudā bhī nahīñ hotā kabhī pahle vaalā ḳhudā
jab zindagī aur us ke ḳhāliq hī kī kaayā kalp hotī rahtī hai yuuñ
to ash.ār hoñ yā vāqi.āt o hādsāt badal jaatā hai hir shai kā mafhūm
bha.ī, badal jaate haiñ ham ḳhud badal jaatī hai hamārī nazar hamārā ehsās
badal jaatī haiñ vo mohabbateñ
jin ke azlī o abadī hone kī qasmeñ khāyā karte the ham
badal jaatī haiñ be-badal dostiyāñ
vo ḳhvāhisheñ badal jaatī haiñ jinhoñ ne
ek umr pāgal banā.e rakhā hotā hai hameñ
aur to aur badal jaate haiñ diin aur īmān
rāste hī nahīñ badal jaatī haiñ manzileñ
sun rahe haiñ aap
bhar to nahīñ paa.e aap bhii?
kidhar chal diye aap?
badal to nahīñ ga.e aap bhii?
barson baad bar-nok-e-zaban rahta hai koi sher
phir ek din
us ke jaane pahchane hazar martaba dohrae hue alfaz ke andar
khul jata hai maani ka ek naya darwaza
aur rah jate hain hum hakka-bakka
jis mafhum par sar dhunte aae the kal tak kitna sathi kitna adhura tha wo
shukr karte hain ki nahin puchh liya kisi ne hum se is sher ka matlab
satya-nas kar Dalte achchhe bhale sher ka in nae maani ke baghair hum
yahi kuchh hota hai zindagi mein pesh aane wale
waqiat o hadsat ke sath bhi
jo kuchh bit gaya aur bit raha hai hum par
der tak raaz hi nahin khulta us ki ahmiyat ka
be-maqsad ho raha hai ye sab kuchh
ya is ka hamare mustaqbil aur muqaddar se bhi talluq hai kuchh
phir parda sa haTta hai aur ho jate hain hum gharq-e-hairat
kitna mahdud tha hamara naqd-e-ilm
aur kin mughaaliton mein paDe hue the hum
mujhe to KHugar sa bana diya hai roz-marra ki is hairani o pareshani ne
nae se naya sadma sahne ko tayyar rahta hun subh o sham
apni jahaalat ke inkishaf par
one-day cricket to shauq se dekhte hain aap bhi
yun samajhiye ki mashq tha guzishta kal ka match aaj ke match ki
mashq hai aaj ka match aane wale kal ke liye
aur kal jo match hoga apni jagah wo final hi kyun na ho
mashq hoga parson ke match ki
haDDiyan gal gain itni sada si baat samajhte samajhte
ki har din tulu hota hai apne sath ek naya sawal ek naya challenge le kar
aur mutaliba karta hai hum se ek nae jawab ek nae tarz-e-amal ka
na to zindagi hi jamid hai na zindagi ka KHaliq KHuda
zindagi bahte dariya ki tarah badalti rahti hai har lahza qaem-o-daem rahte hue
aur nit-nai taKHliq mein masruf KHuda bhi nahin hota kabhi pahle wala KHuda
jab zindagi aur us ke KHaliq hi ki kaya kalp hoti rahti hai yun
to ashaar hon ya waqiat o hadsat badal jata hai hir shai ka mafhum
bhai, badal jate hain hum KHud badal jati hai hamari nazar hamara ehsas
badal jati hain wo mohabbaten
jin ke azli o abadi hone ki qasmen khaya karte the hum
badal jati hain be-badal dostiyan
wo KHwahishen badal jati hain jinhon ne
ek umr pagal banae rakha hota hai hamein
aur to aur badal jate hain din aur iman
raste hi nahin badal jati hain manzilen
sun rahe hain aap
bhar to nahin pae aap bhi?
kidhar chal diye aap?
badal to nahin gae aap bhi?
- Book : din kaa phool (Pg. 115)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.