mashq
to vo sab mashq thī
be-pardagī kī
jo mujhe pichhle ka.ī ek saal se un aspatāloñ meñ karā.ī jā rahī thī
jahāñ par qaid thā maiñ
kabhī mujh ko mire hī phephaḌoñ kī x-ray meñ qaid tasvīreñ dikhā kar
kabhī peshāb kī thailī lagā kar
ki maiñ puurī tarah be-sharm ho jā.ūñ
us ik lamhe ke aane tak
jab ik anjān haath
ġhusl ke taḳhte pe bilkul be-jhijak
uzv-e-tanāsul meñ mire
peshāb kī būñdeñ TaTole
aur mujhe jaise jahāñ jī chāhe chhū le
to wo sab mashq thi
be-pardagi ki
jo mujhe pichhle kai ek sal se un aspatalon mein karai ja rahi thi
jahan par qaid tha main
kabhi mujh ko mere hi phephaDon ki x-ray mein qaid taswiren dikha kar
kabhi peshab ki thaili laga kar
ki main puri tarah be-sharm ho jaun
us ek lamhe ke aane tak
jab ek anjaan hath
ghusl ke taKHte pe bilkul be-jhijak
uzw-e-tanasul mein mere
peshab ki bunden TaTole
aur mujhe jaise jahan ji chahe chhu le
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 132)
- Author : shariq kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.