mashriqi laDkiyon ke nam ek nazm
vahī dariyā
javān rañgīn nāzuk machhliyoñ kā
hai bichhaunā oḌhnā
ye machhliyāñ bholī
isī meñ zinda rahnā chāhtī haiñ
aur bahāo ke muḳhālif tairne kī
aarzū bhī dil meñ rakhtī haiñ
magar dariyā
unheñ ḳhāshāk kī sūrat bahā kar
ek din pur-shor kaf-ālūd pur-haibat samundar ke havāle karne vaalā hai
yahī hotā rahā hai
to kyā dariyā yahī kartā rahegā
wahi dariya
jawan rangin nazuk machhliyon ka
hai bichhauna oDhna
ye machhliyan bholi
isi mein zinda rahna chahti hain
aur bahao ke muKHalif tairne ki
aarzu bhi dil mein rakhti hain
magar dariya
unhen KHashak ki surat baha kar
ek din pur-shor kaf-alud pur-haibat samundar ke hawale karne wala hai
yahi hota raha hai
to kya dariya yahi karta rahega
- Book : siip (Magzin) (Pg. 169)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.