mashwara
ātish-e-be-sūd meñ mat kuud ho kar be-ḳhatar
mat gañvā yuuñ muft meñ āzādī-e-qalb-o-jigar
jab tirī qismat meñ bañgla hai na gaaḌī hai na zar
ḳhāna-ābādī kā phir ye kyuuñ taraddud is qadar
aarzū terī bajā merī nasīhat hai magar
ai mare hamdam ḳhudā ke vāste shādī na kar
tere rishte-dār bhī haiñ ab tire bad-ḳhvāh dekh
kar rahe haiñ jo tujhe sub.h-o-masā gumrāh dekh
kar rahā huuñ vaqt se pahle tujhe āgāh dekh
sun na vālid kī nasīhat apnī bas tanḳhvāh dekh
chand sau meñ zindagī hogī bhalā kaise basar
ai mire hamdam ḳhudā ke vāste shādī na kar
tū ne shādī kī to miT jā.egā terā bāñkpan
tū jhukā jab ġhair ke aage na tan terā na man
kar na yuuñ barbād apnī zindagānī kā chaman
tū agar merā nahīñ bantā na ban apnā to ban
ye tire jiine ke din haiñ is liye hargiz na mar
ai mire hamdam ḳhudā ke vāste shādī na kar
aa rahā hai roz lailā-e-girānī pur-shabāb
tel khāte haiñ jo kal tak dekhte the ghī ke ḳhvāb
aam kapḌā mushkiloñ se ho rahā hai dastiyāb
shahr meñ chīnī bhī miltī hai to sone ke hisāb
ye girānī toḌ degī ye tirī dublī kamar
ai mire hamdam ḳhudā ke vāste shādī na kar
qaum ābādī se pahle ho chukī hai zer-e-bār
aur mat kar is bichārī ko izāfe kā shikār
iltavā meñ Daal de filhāl shādī kā ġhubār
is se behtar hai ki kar le murġhiyoñ kā kārobār
varna biivī ke samar meñ to haiñ poshīda sharar
ai mire hamdam ḳhudā ke vāste shādī na kar
pesh aate haiñ jo bāhar hukmarānoñ kī tarah
guftugū karte haiñ jo rustam zamānoñ kī tarah
ghar meñ rahte haiñ magar vo be-zabānoñ kī tarah
kāTte haiñ vaqt apnā nīm-jānoñ kī tarah
sāmne begam ke un kī har baḌā.ī be-asar
ai mare hamdam ḳhudā ke vāste shādī na kar
sāmne tere hai vo sāloñ se raanā kī misāl
baa'd shādī kyā huā hai chaudharī-sāhab kā haal
ban ga.ī hai shaiḳh-jī ke vāste shādī vabāl
aur yahī janjāl hai mire liye vaj.h-e-zavāl
Daal ham bad-baḳht insānoñ pe ibrat kī nazar
ai mire hamdam ḳhudā ke vāste shādī na kar
ghar meñ jab aatī hai to ḳhūñḳhār ban jaatī hai ye
ik mujassam sho.ala-e-paikār ban jaatī hai ye
sang bantī hai kabhī talvār ban jaatī hai ye
aadmī mazdūr aur ḳharkār ban jaatī hai ye
al-amān-o-al-ġhayās-o-al-hafīz-o-al-hazar
ai mire hamdam ḳhudā ke vāste shādī na kar
aatish-e-be-sud mein mat kud ho kar be-KHatar
mat ganwa yun muft mein aazadi-e-qalb-o-jigar
jab teri qismat mein bangla hai na gaDi hai na zar
KHana-abaadi ka phir ye kyun taraddud is qadar
aarzu teri baja meri nasihat hai magar
ai mare hamdam KHuda ke waste shadi na kar
tere rishte-dar bhi hain ab tere bad-KHwah dekh
kar rahe hain jo tujhe subh-o-masa gumrah dekh
kar raha hun waqt se pahle tujhe aagah dekh
sun na walid ki nasihat apni bas tanKHwah dekh
chand sau mein zindagi hogi bhala kaise basar
ai mere hamdam KHuda ke waste shadi na kar
tu ne shadi ki to miT jaega tera bankpan
tu jhuka jab ghair ke aage na tan tera na man
kar na yun barbaad apni zindagani ka chaman
tu agar mera nahin banta na ban apna to ban
ye tere jine ke din hain is liye hargiz na mar
ai mere hamdam KHuda ke waste shadi na kar
aa raha hai roz laila-e-girani pur-shabab
tel khate hain jo kal tak dekhte the ghi ke KHwab
aam kapDa mushkilon se ho raha hai dastiyab
shahr mein chini bhi milti hai to sone ke hisab
ye girani toD degi ye teri dubli kamar
ai mere hamdam KHuda ke waste shadi na kar
qaum aabaadi se pahle ho chuki hai zer-e-bar
aur mat kar is bichaari ko izafe ka shikar
iltawa mein Dal de filhaal shadi ka ghubar
is se behtar hai ki kar le murghiyon ka karobar
warna biwi ke samar mein to hain poshida sharar
ai mere hamdam KHuda ke waste shadi na kar
pesh aate hain jo bahar hukmaranon ki tarah
guftugu karte hain jo rustam zamanon ki tarah
ghar mein rahte hain magar wo be-zabanon ki tarah
kaTte hain waqt apna nim-jaanon ki tarah
samne begam ke un ki har baDai be-asar
ai mare hamdam KHuda ke waste shadi na kar
samne tere hai wo salon se rana ki misal
ba'd shadi kya hua hai chaudhari-sahab ka haal
ban gai hai shaiKH-ji ke waste shadi wabaal
aur yahi janjal hai mere liye wajh-e-zawal
Dal hum bad-baKHt insanon pe ibrat ki nazar
ai mere hamdam KHuda ke waste shadi na kar
ghar mein jab aati hai to KHunKHar ban jati hai ye
ek mujassam shoala-e-paikar ban jati hai ye
sang banti hai kabhi talwar ban jati hai ye
aadmi mazdur aur KHarkar ban jati hai ye
al-aman-o-al-ghayas-o-al-hafiz-o-al-hazar
ai mere hamdam KHuda ke waste shadi na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.