mashwara
galī ke moḌ par ġhalīz nāliyoñ kī ret meñ
safed pāniyoñ meñ haath Daal kar vo laḌkiyāñ
na jaane DhūñDhtī haiñ kyā
maiñ Tāfiyoñ ke packetoñ kī rangateñ dikhā dikhā ke
minnatoñ samājatoñ se haath joḌ joḌ ke
unheñ bulā ke apnī samt
kah rahā huuñ kaan meñ
tumheñ maiñ chaar aane vaalī qulfiyāñ ḳharīd duuñ
magar is ek shart par
koī agar tumheñ kahe
tumhārā baap kaun hai
tumhārā baap kaun hai
to chup raho
gali ke moD par ghaliz naliyon ki ret mein
safed paniyon mein hath Dal kar wo laDkiyan
na jaane DhunDhti hain kya
main Tafiyon ke packeton ki rangaten dikha dikha ke
minnaton samajaton se hath joD joD ke
unhen bula ke apni samt
kah raha hun kan mein
tumhein main chaar aane wali qulfiyan KHarid dun
magar is ek shart par
koi agar tumhein kahe
tumhaara bap kaun hai
tumhaara bap kaun hai
to chup raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.