mashwara
merī āñkhoñ se ḳhud ko mat dekho
merī āñkhoñ se tum ne dekhā to ḳhud ko hī dekhtī rahogī tum
bazm-e-imkāñ meñ bazm-e-yārāñ meñ ḳhud ko hī DhūñDtī rahogī tum
aur phir is jahāñ meñ apne sivā koī achchhā nahīñ lagegā tumheñ
is liye merī baat maano to merī āñkhoñ se ḳhud ko mat dekho
meri aankhon se KHud ko mat dekho
meri aankhon se tum ne dekha to KHud ko hi dekhti rahogi tum
bazm-e-imkan mein bazm-e-yaran mein KHud ko hi DhunDti rahogi tum
aur phir is jahan mein apne siwa koi achchha nahin lagega tumhein
is liye meri baat mano to meri aankhon se KHud ko mat dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.