mashwara
merī mahbūb ye tauhīn-e-mohabbat hogī
bevafā kah ke mire pyaar ko majrūh na kar
tujh ko shikva hai shikāyat hai gila hai mujh se
merī qismat kī tarah tū bhī ḳhafā hai mujh se
terī har baat hai taslīm
magar kahne de
daur-e-sarmāya kī
roñdī huī ik laash ham
zulm kī aag meñ
ma.asūm mohabbat jhulse
is se behtar hai ki
begāna banā leñ ḳhud ko
lafz-dar-lafz
hikāyāt meñ kho jaa.eñ ham
kapkapāte hue hoñToñ pe tabassum rakh leñ
TimTimātī huī āñkhoñ meñ tajallī bhar leñ
asr-e-hāzir kā
taqāzā bhī yahī hai hamdam
apnī begāngī ko
apnā muqaddar samjheñ
tū muqaddas hai
tire gird taqaddus kā hisār
maiñ ki
is ahd kā
ik shā.er-e-āshufta-e-mizāj
mere hisse meñ
faqat
nazm ġhazal aur ash.ār
maiñ bahar-hāl
tire shauq kā sāmān nahīñ
merī āñkhoñ meñ haiñ TuuTe hue
lafzoñ ke nuqūsh
mere hoñToñ pe haiñ
bikhre hue maazī ke hurūf
sach to ye hai ki mirā tujh se koī mel nahīñ
ishq me.arāj-e-muqaddar hai koī khel nahīñ
meri mahbub ye tauhin-e-mohabbat hogi
bewafa kah ke mere pyar ko majruh na kar
tujh ko shikwa hai shikayat hai gila hai mujh se
meri qismat ki tarah tu bhi KHafa hai mujh se
teri har baat hai taslim
magar kahne de
daur-e-sarmaya ki
rondi hui ek lash hum
zulm ki aag mein
masum mohabbat jhulse
is se behtar hai ki
begana bana len KHud ko
lafz-dar-lafz
hikayat mein kho jaen hum
kapkapate hue honTon pe tabassum rakh len
TimTimati hui aankhon mein tajalli bhar len
asr-e-hazir ka
taqaza bhi yahi hai hamdam
apni begangi ko
apna muqaddar samjhen
tu muqaddas hai
tere gird taqaddus ka hisar
main ki
is ahd ka
ek shaer-e-ashufta-e-mizaj
mere hisse mein
faqat
nazm ghazal aur ashaar
main bahar-haal
tere shauq ka saman nahin
meri aankhon mein hain TuTe hue
lafzon ke nuqush
mere honTon pe hain
bikhre hue mazi ke huruf
sach to ye hai ki mera tujh se koi mel nahin
ishq mearaj-e-muqaddar hai koi khel nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.