mashwara
tū chhin gayā to lagā jaise
lakīreñ merī hathelī ke kāġhaz se gir ga.ī haiñ
aur haath kafan se zyāda
safed ho ga.e haiñ
ab jaane kaun se lamhe kī pur-kār
lā.inoñ kī ibārat dobāra likhe
maiñ ne jiit udhār to nahīñ māñgī thī
hijr kisī zālim chaudharī kī tarah
tamām vasl kā anaaj uThā kar le gayā hai
aur bhuuk jism pe bāloñ kī tarah ugne lagī hai
vaqt se merā mazāq kabhī nahīñ rahā
phir jaane kyuuñ
sab ye mujh se kisī bahut qarībī dost kī tarah
kheltā rahtā hai
tere aañsū merī āñkhoñ ko
nargis kā sauñp kar ga.e haiñ
jaane surḳh gulāb kā zā.iqa bīnā.ī kab chakkhe
suno
raste abhī apne musāfir bhūle nahīñ
lauT aao
varna ma.alūm hai tumheñ
ab nayā ghar bante der nahīñ lagtī
raste sukḌī huī kaliyāñ
aur khet sahn banñe se pahle chale aao
ki tavīl dūriyāñ
apne mehvar se ha.Tne ke mutarādif haiñ
aur madār se nikle hue chāñd
ek din aḳhbār kī surḳhī ban kar
baaqī raddī ke bhaav bikte haiñ
tu chhin gaya to laga jaise
lakiren meri hatheli ke kaghaz se gir gai hain
aur hath kafan se zyaada
safed ho gae hain
ab jaane kaun se lamhe ki pur-kar
lainon ki ibarat dobara likhe
main ne jit udhaar to nahin mangi thi
hijr kisi zalim chaudhari ki tarah
tamam wasl ka anaj uTha kar le gaya hai
aur bhuk jism pe baalon ki tarah ugne lagi hai
waqt se mera mazaq kabhi nahin raha
phir jaane kyun
sab ye mujh se kisi bahut qaribi dost ki tarah
khelta rahta hai
tere aansu meri aankhon ko
nargis ka saunp kar gae hain
jaane surKH gulab ka zaiqa binai kab chakkhe
suno
raste abhi apne musafir bhule nahin
lauT aao
warna malum hai tumhein
ab naya ghar bante der nahin lagti
raste sukDi hui kaliyan
aur khet sahn banne se pahle chale aao
ki tawil duriyan
apne mehwar se haTne ke mutaradif hain
aur madar se nikle hue chand
ek din aKHbar ki surKHi ban kar
baqi raddi ke bhaw bikte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.