mashwara
suno
zulm kā abr dhartī ke tapte badan par jo barsāoge
to samay āye.gā
aur aane hī vaalā hai ye jaan lo
ki tumhāre bhī sar se
ye paanī kā relā guzar jā.egā
aur tumhārā badan
muntaqil aisī daldal meñ ho jā.egā
jis kī jānib abas ġhair kā tazkira
ḳhud tumhāre bhī apne nahīñ ā.eñge
suno
zulm ka abr dharti ke tapte badan par jo barsaoge
to samay aayega
aur aane hi wala hai ye jaan lo
ki tumhaare bhi sar se
ye pani ka rela guzar jaega
aur tumhaara badan
muntaqil aisi daldal mein ho jaega
jis ki jaanib abas ghair ka tazkira
KHud tumhaare bhi apne nahin aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.