Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mashwara

MORE BYSalam Machhli shahri

    tum sar-e-shāḳh-e-saman baaġh meñ aayā na karo

    baaġh meñ manchale bhauñre bhī uḌā karte haiñ

    vo hadaf tum ko banā leñge to phir kyā hogā

    baar baar aa.ine ke paas bhī jaayā na karo

    baa'z ā.īne bhī jāñ-dār huā karte haiñ

    vo jo siine se lagā leñge to phir kyā hogā

    tum khulī chhat pe shab-e-māh meñ gaayā na karo

    raat meñ chand farishte bhī phirā karte haiñ

    vo agar saaz uThā leñge to phir kyā hogā

    apnī sakhiyoñ ko bhī har ḳhvāb sunāyā na karo

    un āñkhoñ meñ bhī kuchh ḳhvāb basā karte haiñ

    ḳhvāb se ḳhvāb mazā leñge to phir kyā hogā

    mere ahbāb se bhī haath milāyā na karo

    āstīnoñ meñ bhī kuchh saañp palā karte haiñ

    apnā sar gar vo uThā leñge to phir kyā hogā

    tum sar-e-shaKH-e-saman bagh mein aaya na karo

    bagh mein manchale bhaunre bhi uDa karte hain

    wo hadaf tum ko bana lenge to phir kya hoga

    bar bar aaine ke pas bhi jaya na karo

    ba'z aaine bhi jaan-dar hua karte hain

    wo jo sine se laga lenge to phir kya hoga

    tum khuli chhat pe shab-e-mah mein gaya na karo

    raat mein chand farishte bhi phira karte hain

    wo agar saz uTha lenge to phir kya hoga

    apni sakhiyon ko bhi har KHwab sunaya na karo

    un ki aankhon mein bhi kuchh KHwab basa karte hain

    KHwab se KHwab maza lenge to phir kya hoga

    mere ahbab se bhi hath milaya na karo

    aastinon mein bhi kuchh sanp pala karte hain

    apna sar gar wo uTha lenge to phir kya hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now