mashwaron se bhari almari
mere dost, mere ḳhair-ḳhvāh
mere islāh kī ġharaz se
vaqtan-favaqtan apne qīmtī mashvaroñ se navāzte rahte haiñ
vo ye kaam puurī zimmedārī se
razākārāna buniyād par karte haiñ
agar maiñ un ke mashvaroñ par amal shurūa kar duuñ
to mumkin hai ye log
mujhe mashvare dene se baaz aa jaa.eñ
maiñ apne ḳhair-ḳhvāhoñ ke diye hue
mashvaroñ ke lifāfe
ek almārī meñ Dāltā rahtā huuñ
jo bhar chukī hai
maiñ jāntā huuñ
mashvare denā mere ḳhair-ḳhvāhoñ kā haq hai
aur un par amal na karnā merī kotāhī
mashvaroñ kā ambār ab is qadar baḌh chukā hai
ki mujhe ek na.ī almārī ḳharīdnā hogī
yā phir apne ḳhair-ḳhvāhoñ ke qīmtī mashvaroñ par
amal kā āġhāz
mere dost mere ḳhair-ḳhvāh
merī islāh kī ġharaz se
vaqtan-favaqtan mujhe apne qīmtī mashvaroñ se navāzte rahte haiñ
lekin koī merī madad karne ko tayār nahīñ
mere dost, mere KHair-KHwah
mere islah ki gharaz se
waqtan-fawaqtan apne qimti mashwaron se nawazte rahte hain
wo ye kaam puri zimmedari se
razakarana buniyaad par karte hain
agar main un ke mashwaron par amal shurua kar dun
to mumkin hai ye log
mujhe mashware dene se baz aa jaen
main apne KHair-KHwahon ke diye hue
mashwaron ke lifafe
ek almari mein Dalta rahta hun
jo bhar chuki hai
main jaanta hun
mashware dena mere KHair-KHwahon ka haq hai
aur un par amal na karna meri kotahi
mashwaron ka ambar ab is qadar baDh chuka hai
ki mujhe ek nai almari KHaridna hogi
ya phir apne KHair-KHwahon ke qimti mashwaron par
amal ka aaghaz
mere dost mere KHair-KHwah
meri islah ki gharaz se
waqtan-fawaqtan mujhe apne qimti mashwaron se nawazte rahte hain
lekin koi meri madad karne ko tayar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.