masiha farisi zamana
masīhā
ki jis ke dahan meñ zabāñ hī nahīñ thī
bhalā kaise andhoñ ko tablīġh kartā
ki aayat basārat kī muhtāj hai
farīsī
ki sāme.a the biinā nahīñ the
bhalā kis tarah se ishāra samajhte
samā.at kā haikal āvāz āvāz-e-but-kada hai
zamāna
ki biinā bhī aur nātiq bhī hai
ye sab kuchh kahāñ māntā hai
salībeñ banāne kā fan jāntā hai
masiha
ki jis ke dahan mein zaban hi nahin thi
bhala kaise andhon ko tabligh karta
ki aayat basarat ki muhtaj hai
farisi
ki samea the bina nahin the
bhala kis tarah se ishaara samajhte
samaat ka haikal aawaz aawaz-e-but-kada hai
zamana
ki bina bhi aur natiq bhi hai
ye sab kuchh kahan manta hai
saliben banane ka fan jaanta hai
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 120)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (Vo.1 Issue2 Oct to Dec1997)
- Edition : Vo.1 Issue2 Oct to Dec1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.