masiha
ḳhudā ne jab shifā taqsīm kī saare zamāne meñ
tumhārī uñgliyoñ par us ne apne haath se likkhā
kisī bīmār ko chhū lo
shifā us kā muqaddar hai
tum har bīmār ko apnā samajhte ho
mudāvā us kā karte ho
har ik bīmār ke chehre pe raunaq tum se qaa.em hai
duā īsā.ī kī tum ko lag ga.ī shāyad
tumhī ummīd ho us kī
shifā hāthoñ pe tum ne rab se likhvā lī
masīhā ho
doctor haidar shīrāzī ke naam
KHuda ne jab shifa taqsim ki sare zamane mein
tumhaari ungliyon par us ne apne hath se likkha
kisi bimar ko chhu lo
shifa us ka muqaddar hai
tum har bimar ko apna samajhte ho
mudawa us ka karte ho
har ek bimar ke chehre pe raunaq tum se qaem hai
dua isai ki tum ko lag gai shayad
tumhi ummid ho us ki
shifa hathon pe tum ne rab se likhwa li
masiha ho
doctor haidar shiraazi ke nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.