masiha ki qatil
tum masīhā ho ki qātil ho maiñ kyoñ batlā.ūñ
ḳhud ye tārīḳh ke aurāq batā.eñge tumheñ
tum ho me.amār na.ī ziist ke yā qātil ho
faisla vaqt ke hāthoñ se yahī honā hai
dauḌ har samt hai phir Tankoñ tayyāroñ kī
amn-e-ālam hai ki phir zad pe hai hathiyāroñ kī
har taraf jang ke hālāt banā rakkhe haiñ
haath mazlūm ke patthar meñ dabā rakkhe haiñ
tum ne is daur ko sarmāya kī zanjīroñ se
qaid kar rakkhā hai har samt jakaḌ rakkhā hai
ismateñ izzateñ sab qaid meñ haiñ
mehnateñ rāhateñ sab qaid meñ haiñ
ziist parvān chaḌhegī ki nahīñ
zaḳhm-e-dil phuul baneñge ki ajal
ḳhud ye tārīḳh ke aurāq batā.eñge tumheñ
tum masīhā ho ki qātil ho maiñ kyoñ batlā.ūñ
shahr-o-dehāt kī na.aroñ se fazā gūñjegī
jald TūTegī ye zanjīr sadā gūñjegī
aaj mehnat hai agar qaid rahā bhī hogī
zindagī ke liye āzād fazā bhī hogī
mehnat-o-rāhat-o-izzat kā lahū
ab tire jaam se hai jald chhalakne vaalā
chhup sakeñge na chhupāne se lahū ke dhabbe
ḳhud hī ik din tire dāman pe ubhar ā.eñge
ḳhud hī tārīḳh ke aurāq pukār uTTheñge
ki masīhā nahīñ is daur ke qātil tum ho
tum masiha ho ki qatil ho main kyon batlaun
KHud ye tariKH ke auraq bataenge tumhein
tum ho meamar nai zist ke ya qatil ho
faisla waqt ke hathon se yahi hona hai
dauD har samt hai phir Tankon tayyaron ki
amn-e-alam hai ki phir zad pe hai hathiyaron ki
har taraf jang ke haalat bana rakkhe hain
hath mazlum ke patthar mein daba rakkhe hain
tum ne is daur ko sarmaya ki zanjiron se
qaid kar rakkha hai har samt jakaD rakkha hai
ismaten izzaten sab qaid mein hain
mehnaten rahaten sab qaid mein hain
zist parwan chaDhegi ki nahin
zaKHm-e-dil phul banenge ki ajal
KHud ye tariKH ke auraq bataenge tumhein
tum masiha ho ki qatil ho main kyon batlaun
shahr-o-dehat ki naron se faza gunjegi
jald TuTegi ye zanjir sada gunjegi
aaj mehnat hai agar qaid raha bhi hogi
zindagi ke liye aazad faza bhi hogi
mehnat-o-rahat-o-izzat ka lahu
ab tere jam se hai jald chhalakne wala
chhup sakenge na chhupane se lahu ke dhabbe
KHud hi ek din tere daman pe ubhar aaenge
KHud hi tariKH ke auraq pukar uTThenge
ki masiha nahin is daur ke qatil tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.