masihai
sapnoñ kī fāḳhtā.eñ
āñkhoñ ke jangaloñ meñ
kartī haiñ shab baserā
ab bhī
magar hamārī
nākām ārzūeñ
kābūs ban ke jab bhī
nīñdeñ ujāḌtī haiñ
sapnoñ kī fāḳhtā.eñ
jaisī shafīq maa.eñ
jaise harī duā.eñ
jamte hue lahū meñ
jugnū uchhāltī haiñ
sapnon ki faKHtaen
aankhon ke jangalon mein
karti hain shab basera
ab bhi
magar hamari
nakaam aarzuen
kabus ban ke jab bhi
ninden ujaDti hain
sapnon ki faKHtaen
jaisi shafiq maen
jaise hari duaen
jamte hue lahu mein
jugnu uchhaalti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.