masKHara pareshan hai
nokīlī 'imāratoñ kī khiḌkiyāñ khulī haiñ
shā.eqīn bechain haiñ
maut kā khel kab shurū' hogā
superman kī garaj-dār āvāz kī lahreñ
jab masḳhare kā badan chīrne lagīñ
to tāliyāñ bajīñ
lutf-andoz hote hue shā.eqīn
tanziya fiqre bhī kas rahe the
masḳhara pareshāñ thā
tāliyoñ aur gāliyoñ ke biich
ring-master speaker kā volume tez karte hue bolā
hazrāt
apnī ‘izzateñ apnī jeb meñ rakhiye
ham nasl-dar-nasl ġhulām haiñ
hameñ patā hī nahīñ mehmān kise kahte haiñ
aur hamāre be-mās jism pe qahqahe mat māriye
jahān bhar ke tajrabe ham par hue haiñ
hamārā badan azal se laboratory rahā hai
nokili 'imaraton ki khiDkiyan khuli hain
shaeqin bechain hain
maut ka khel kab shuru' hoga
superman ki garaj-dar aawaz ki lahren
jab masKHare ka badan chirne lagin
to taliyan bajin
lutf-andoz hote hue shaeqin
tanziya fiqre bhi kas rahe the
masKHara pareshan tha
taliyon aur galiyon ke bich
ring-master speaker ka wolume tez karte hue bola
hazraat
apni ‘izzaten apni jeb mein rakhiye
hum nasl-dar-nasl ghulam hain
hamein pata hi nahin mehman kise kahte hain
aur hamare be-mas jism pe qahqahe mat mariye
jahan bhar ke tajrabe hum par hue hain
hamara badan azal se laboratory raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.