masKHara ghoDa
ek thā ghoḌā ajab nirālā
bāteñ havā se karne vaalā
rang us kā chitkabrā aisā
sāvan maas ke bādal jaisā
qad thā us kā yuuñ to chhoTā
jism thā lekin ḳhāsā moTā
circus meñ kartab dikhlātā
chhoTe baḌoñ ko ḳhuub hañsātā
uchhlā kuudā nāchā kartā
aur havā meñ tarāre bhartā
ik din circus meñ chhuTTī thī
ghoḌe ko bas sair kī sūjhī
circus se vo bāhar niklā
aur phir ik maidān meñ pahuñchā
vaañ laḌke DañD pel rahe the
geñd se bhī kuchh khel rahe the
ghoḌe ko ye khel jo bhāyā
dil meñ us ke josh sā aayā
us ne kahā ai bhaa.ī laḌko
khel meñ mujh ko shāmil kar lo
laḌke bole achchhā aao
tum bhī khaḌe ik jā ho jaao
laḌke the go sab hī khilāḌī
ghoḌā bhī thā koī anāḌī
haath se geñd dabocheñ laḌke
ghoḌā muñh se geñd daboche
khel ne aisā rang jamāyā
sab ne ḳhuub hī lutf uThāyā
ab tum baat suno aage kī
geñd aa.ī ik baar uchhaltī
ghoḌe kī aa.ī kam-baḳhtī
us ne jhāḌī ik dolattī
geñd pakaḌne phir vo lapkā
aisā lagā kuchh us ko dhakkā
geñd vo us ke halq se utrī
aur bas sīdhī peT meñ pahuñchī
jaan pe us kī aisī ga.ī ban
bhuul gayā vo sab apne fan
uchhlā kuudā shor machāyā
ghoḌe ko ārām na aayā
laḌke us ko jaise-taise
le ke shifā ḳhāne meñ pahuñche
dauḌā dauḌā aayā surgeon
karnā thā jis ko operation
ghoḌe kā thā haal jo abtar
jhaT se nikālā us ne nashtar
ghoḌe ke jab peT ko chīrā
andar se ik mālTā niklā
ek tha ghoDa ajab nirala
baaten hawa se karne wala
rang us ka chitkabra aisa
sawan mas ke baadal jaisa
qad tha us ka yun to chhoTa
jism tha lekin KHasa moTa
circus mein kartab dikhlata
chhoTe baDon ko KHub hansata
uchhla kuda nacha karta
aur hawa mein tarare bharta
ek din circus mein chhuTTi thi
ghoDe ko bas sair ki sujhi
circus se wo bahar nikla
aur phir ek maidan mein pahuncha
wan laDke DanD pel rahe the
gend se bhi kuchh khel rahe the
ghoDe ko ye khel jo bhaya
dil mein us ke josh sa aaya
us ne kaha ai bhai laDko
khel mein mujh ko shamil kar lo
laDke bole achchha aao
tum bhi khaDe ek ja ho jao
laDke the go sab hi khilaDi
ghoDa bhi tha koi anaDi
hath se gend dabochen laDke
ghoDa munh se gend daboche
khel ne aisa rang jamaya
sab ne KHub hi lutf uThaya
ab tum baat suno aage ki
gend aai ek bar uchhalti
ghoDe ki aai kam-baKHti
us ne jhaDi ek dolatti
gend pakaDne phir wo lapka
aisa laga kuchh us ko dhakka
gend wo us ke halq se utri
aur bas sidhi peT mein pahunchi
jaan pe us ki aisi gai ban
bhul gaya wo sab apne fan
uchhla kuda shor machaya
ghoDe ko aaram na aaya
laDke us ko jaise-taise
le ke shifa KHane mein pahunche
dauDa dauDa aaya surgeon
karna tha jis ko operation
ghoDe ka tha haal jo abtar
jhaT se nikala us ne nashtar
ghoDe ke jab peT ko chira
andar se ek malTa nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.