maslahat
chāñdnī raat ke hañste hue ḳhvāboñ kī tarah
nuqra.ī jism kā shādāb gulistāñ le kar
shoḳh āñkhoñ ke chhalakte hue paimānoñ meñ
mujh tahī-dast ke ālām kā darmāñ le kar
aaj tū jin ko bujhāne ke liye aa.ī hai
unhīñ sho.aloñ se mire dil ne jilā paa.ī hai
unhīñ sho.aloñ kī tab-o-tāb hai jis ne ab tak
mere idrāk ko be-soz nahīñ rakkhā hai
jabr kī chhāñv meñ parvān chaḌhā huuñ phir bhī
maiñ ne insān kī azmat pe yaqīñ rakkhā hai
aise sho.aloñ kī tapish terī panāhoñ meñ kahāñ
aur ye soz-e-yaqīñ terī nigāhoñ meñ kahāñ
unhīñ sho.aloñ kī tamāzat kā sahārā le kar
barbariyyat ke har aivān se Takrāyā huuñ
har kaḌe vaqt meñ sañgīn chaTānoñ kī tarah
tund hālāt ke tūfān se Takrāyā huuñ
tū kahāñ aur mirī jur.at-e-be-bāk kahāñ
tujh ko is kāhish-e-jāñ-soz kā idrāk kahāñ
ab yahī sho.ale mirī fikr-o-nazar meñ Dhal kar
husn-e-ehsās kā shahkār nazar aate haiñ
is tamaddun kī ghanī raat ke sannāTe meñ
sub.h kī tarah ziyā-bār nazar aate haiñ
aur tū kahtī hai is subah kā saudā kar luuñ
dil meñ in sho.aloñ ke badle tire jalve bhar luuñ
jab bhaḌak uTTheñge har sard-o-siyah siine meñ
yahī sho.ale dil-e-āfāq ko lau baḳhsheñge
tīra-o-tār dimāġhoñ ko bujhe chehroñ ko
azm-o-ummīd kī gaatī huī zau baḳhsheñge
aur ye zau hī banegī tire jalvoñ kā kafan
aag ho jā.egā is se tirā shādāb-e-chaman
mere ālām kā darmāñ tirī āñkhoñ meñ nahīñ
apne ehsās ko siine meñ tapāñ rakkhūñgā
aaj tak maiñ ne jise shola-fishāñ rakkhā hai
ab bhī vo aag yūñhī shola-fishāñ rakkhūñgā
mujh ko ehsās hai lekin tujhe ehsās nahīñ
tere dāman kī havā mere liye raas nahīñ
chandni raat ke hanste hue KHwabon ki tarah
nuqrai jism ka shadab gulistan le kar
shoKH aankhon ke chhalakte hue paimanon mein
mujh tahi-dast ke aalam ka darman le kar
aaj tu jin ko bujhane ke liye aai hai
unhin shoalon se mere dil ne jila pai hai
unhin shoalon ki tab-o-tab hai jis ne ab tak
mere idrak ko be-soz nahin rakkha hai
jabr ki chhanw mein parwan chaDha hun phir bhi
main ne insan ki azmat pe yaqin rakkha hai
aise shoalon ki tapish teri panahon mein kahan
aur ye soz-e-yaqin teri nigahon mein kahan
unhin shoalon ki tamazat ka sahaara le kar
barbariyyat ke har aiwan se Takraya hun
har kaDe waqt mein sangin chaTanon ki tarah
tund haalat ke tufan se Takraya hun
tu kahan aur meri jurat-e-be-bak kahan
tujh ko is kahish-e-jaan-soz ka idrak kahan
ab yahi shoale meri fikr-o-nazar mein Dhal kar
husn-e-ehsas ka shahkar nazar aate hain
is tamaddun ki ghani raat ke sannaTe mein
subh ki tarah ziya-bar nazar aate hain
aur tu kahti hai is subah ka sauda kar lun
dil mein in shoalon ke badle tere jalwe bhar lun
jab bhaDak uTThenge har sard-o-siyah sine mein
yahi shoale dil-e-afaq ko lau baKHshenge
tira-o-tar dimaghon ko bujhe chehron ko
azm-o-ummid ki gati hui zau baKHshenge
aur ye zau hi banegi tere jalwon ka kafan
aag ho jaega is se tera shadab-e-chaman
mere aalam ka darman teri aankhon mein nahin
apne ehsas ko sine mein tapan rakkhunga
aaj tak main ne jise shola-fishan rakkha hai
ab bhi wo aag yunhi shola-fishan rakkhunga
mujh ko ehsas hai lekin tujhe ehsas nahin
tere daman ki hawa mere liye ras nahin
- Book : Sangam (Pg. 76)
- Author : Naresh Kumar Shad
- Publication : New Taj Office,Delhi (1960)
- Edition : 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.