masrufiyat
kal shab mere baazū us kī ḳhushbū meñ tar the
sākit aañkh ke parde par tasvīr usī kī thī
bāloñ meñ bhī lams abhī tak us ke haath kā thā
ḳhuun ke badle shiryānoñ meñ va.ade the us ke
kuchh uljhe inkār the chand irāde the us ke
lekin merā dil aTkā thā kaam kī uljhan meñ
aur merā ye zehn office kī mez pe rakkhā thā
kal shab mere bazu us ki KHushbu mein tar the
sakit aankh ke parde par taswir usi ki thi
baalon mein bhi lams abhi tak us ke hath ka tha
KHun ke badle shiryanon mein wade the us ke
kuchh uljhe inkar the chand irade the us ke
lekin mera dil aTka tha kaam ki uljhan mein
aur mera ye zehn office ki mez pe rakkha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.