massage
ai ġhazālī āñkhoñ vaalī
sunā hai tumhāre shahr meñ chaa.e achchhī miltī hai
so maiñ chaa.e piine aa jā.ūñ
tum bhī kisī cafe meñ aa jaanā
aur suno
farsūda samāj ke lāya.anī rasm-o-rivāj
kī baat mat karnā
chalī aanā
us ne javāban likhā
chaa.e chhoḌiye aap hamāre ghar tashrīf lā.iye
hamārī family se miliye
apnī family se milvā.iye
ham sāda-mizāj sadiyoñ purānī mehmān-navāzī se
aap kā istiqbāl kareñge
are laḌkī had kartī ho
family se kaise tumheñ milvā saktā huuñ
maiñ apnī shernī ko bhalā kyūñkar gañvā saktā huuñ
vo mujhe kachchā chabā jā.egī
vo hairānī se likhne lagī
shernī kaun shernī
javāb aayā shernī
merī sharīk-e-hayāt mere bachchoñ kī maañ
merī jaañ
tum milne aao to Thiik varna is topic ko ḳhatm karte haiñ
vo aañsū piite baḌe karb se likhne baiThī
aap mujhe bahut ġhalat samjhe haiñ
maiñ akele milne kabhī nahīñ aa saktī
āḳhir aap ne kyā soch kar ye sab kahā hai
khilkhilāte icon ke saath us kā massage numūdār huā
are laḌkī tum meñ zarā hiss-e-mizāh nahīñ hai
mazāq ko bhī tum koḌh maġhz nahīñ samajhtī
ye sab az-rā.e tafannun kahā hai
ai ghazali aankhon wali
suna hai tumhaare shahr mein chae achchhi milti hai
so main chae pine aa jaun
tum bhi kisi cafe mein aa jaana
aur suno
farsuda samaj ke layani rasm-o-riwaj
ki baat mat karna
chali aana
us ne jawaban likha
chae chhoDiye aap hamare ghar tashrif laiye
hamari family se miliye
apni family se milwaiye
hum sada-mizaj sadiyon purani mehman-nawazi se
aap ka istiqbaal karenge
are laDki had karti ho
family se kaise tumhein milwa sakta hun
main apni sherni ko bhala kyunkar ganwa sakta hun
wo mujhe kachcha chaba jaegi
wo hairani se likhne lagi
sherni kaun sherni
jawab aaya sherni
meri sharik-e-hayat mere bachchon ki man
meri jaan
tum milne aao to Thik warna is topic ko KHatm karte hain
wo aansu pite baDe karb se likhne baiThi
aap mujhe bahut ghalat samjhe hain
main akele milne kabhi nahin aa sakti
aaKHir aap ne kya soch kar ye sab kaha hai
khilkhilate icon ke sath us ka massage numudar hua
are laDki tum mein zara hiss-e-mizah nahin hai
mazaq ko bhi tum koDh maghz nahin samajhti
ye sab az-rae tafannun kaha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.