mataa-e-sher
maiñ us ko dekhūñ to jaage shu.ūr-e-ḳhvābīda
maiñ us ko sochūñ to phūTe ufuq pe sub.h kī pau
ridā-e-shab ko sameTe kiran tamanna kī
rah-e-hayāt se zulmat kā kārvāñ haT jaa.e
sanam-kada vo mohabbat kā us kī devī bhī
maiñ us ko husn likhūñ husn kī kitāb likhūñ
kañval tarāshūñ ki chehre ko ik gulāb likhūñ
shabīh-e-fikr likhūñ paikar-e-ḳhayāl likhūñ
matā.a-e-sher likhūñ sher kā jamāl likhūñ
sulūk lahje kā us ke ki jaise amrit-ras
vo jāñ-farebī-e-iz.hār-e-dil-navāz-e-suḳhan
jabīñ pe vus.at-e-qalb-o-nazar kī tahrīreñ
hadīs-e-mehr-o-vafā kī hasīn tafsīreñ
ġhurūr-e-ishq un āñkhoñ kā ehtirām kare
vo āsmāñ hai zamīñ us se kyā kalām kare
main us ko dekhun to jage shuur-e-KHwabida
main us ko sochun to phuTe ufuq pe subh ki pau
rida-e-shab ko sameTe kiran tamanna ki
rah-e-hayat se zulmat ka karwan haT jae
sanam-kada wo mohabbat ka us ki dewi bhi
main us ko husn likhun husn ki kitab likhun
kanwal tarashun ki chehre ko ek gulab likhun
shabih-e-fikr likhun paikar-e-KHayal likhun
mataa-e-sher likhun sher ka jamal likhun
suluk lahje ka us ke ki jaise amrit-ras
wo jaan-farebi-e-izhaar-e-dil-nawaz-e-suKHan
jabin pe wusat-e-qalb-o-nazar ki tahriren
hadis-e-mehr-o-wafa ki hasin tafsiren
ghurur-e-ishq un aankhon ka ehtiram kare
wo aasman hai zamin us se kya kalam kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.