maulana abul-kalam ka janaza dekh kar
kis ko le kar jā rahe haiñ aaj yuuñ nauha-kunāñ
ro rahe haiñ aaj kis ko mulk ke pīr-o-javāñ
sar-nigūñ kis ke liye hai hind kā qaumī nishāñ
na.ash se lipTā hai kis kī parcham-e-hindostāñ
kis liye hai aaj sīna-chāk dillī kī zamīñ
hind kā ye dil banegā kis amānat kā amiiñ
vo imām-ul-hind vo mard-e-ḳhudā ruḳhsat huā
jang-e-āzādī kā apnī peshvā ruḳhsat huā
rahnumāoñ kā hamāre rahnumā ruḳhsat huā
dil pe kartī thī asar jis kī sadā ruḳhsat huā
saat din pahle bhī thā taqrīr meñ kitnā asar
tūtī-e-hindostāñ ko khā ga.ī kis kī nazar
ye zamīn-e-hind hai is meñ bahut hoñge adiib
is kī miTTī meñ mohabbat hai bahut hoñge habīb
gā.eñge hubb-e-vatan ke raag lākhoñ andalīb
aur mil jā.eñge amrāz-e-siyāsat ke tabīb
ek hastī meñ tamām ausāf kyūñkar pā.eñge
ab kahāñ se bul-kalām-āzād jaisā lā.eñge
zindagī meñ marne vaale kī koī paiġhām hai
be-ġharaz be-laus ḳhidmat kī salā-e-ām hai
nekiyoñ kā āqibat meñ nek hī anjām hai
hai yahī insāniyat baaqī ḳhudā kā naam hai
ai 'shifā' insān vo hai jo ho mar kar nek-nām
zindagī meñ to sabhī rakhte haiñ ḳhud ko shād-kām
kis ko le kar ja rahe hain aaj yun nauha-kunan
ro rahe hain aaj kis ko mulk ke pir-o-jawan
sar-nigun kis ke liye hai hind ka qaumi nishan
nash se lipTa hai kis ki parcham-e-hindostan
kis liye hai aaj sina-chaak dilli ki zamin
hind ka ye dil banega kis amanat ka amin
wo imam-ul-hind wo mard-e-KHuda ruKHsat hua
jang-e-azadi ka apni peshwa ruKHsat hua
rahnumaon ka hamare rahnuma ruKHsat hua
dil pe karti thi asar jis ki sada ruKHsat hua
sat din pahle bhi tha taqrir mein kitna asar
tuti-e-hindostan ko kha gai kis ki nazar
ye zamin-e-hind hai is mein bahut honge adib
is ki miTTi mein mohabbat hai bahut honge habib
gaenge hubb-e-watan ke rag lakhon andalib
aur mil jaenge amraaz-e-siyasat ke tabib
ek hasti mein tamam ausaf kyunkar paenge
ab kahan se bul-kalam-azad jaisa laenge
zindagi mein marne wale ki koi paigham hai
be-gharaz be-laus KHidmat ki sala-e-am hai
nekiyon ka aaqibat mein nek hi anjam hai
hai yahi insaniyat baqi KHuda ka nam hai
ai 'shifa' insan wo hai jo ho mar kar nek-nam
zindagi mein to sabhi rakhte hain KHud ko shad-kaam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.