maulana mohammad-ali marhum jauhar
sahar ke jhuTpuTe meñ gā rahī thī raat kī lailā
chaman meñ baj rahā thā satvat-e-rafta kā ik taara
munaqqash thiiñ fazā meñ jā-ba-jā anvār kī shakleñ
mujhe paiġhām jalva de rahī thiiñ surmagīñ āñkheñ
falak par lukka-e-abr-e-subuk-raftār raqsāñ thā
bahisht-e-husn thā duniyā kī barnā.ī kā har zarra
abhī chheḌā na thā dil ne mire afsāna-e-māzī
ma.an añkhoñ ke aage khiñch ga.ī tasvīr 'jauhar' kī
salām aise mujāhid nek-sīrat pāk-tīnat par
jo apnī jaan tak qurbān kar de mulk-o-millat par
sahar ke jhuTpuTe mein ga rahi thi raat ki laila
chaman mein baj raha tha satwat-e-rafta ka ek tara
munaqqash thin faza mein ja-ba-ja anwar ki shaklen
mujhe paigham jalwa de rahi thin surmagin aankhen
falak par lukka-e-abr-e-subuk-raftar raqsan tha
bahisht-e-husn tha duniya ki barnai ka har zarra
abhi chheDa na tha dil ne mere afsana-e-mazi
man ankhon ke aage khinch gai taswir 'jauhar' ki
salam aise mujahid nek-sirat pak-tinat par
jo apni jaan tak qurban kar de mulk-o-millat par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.