maulwi jannat mein
maulvī jannat meñ pahoñche to ajab the silsile
nāshte meñ sub.h ko bas chaa.e aur paape mile
jhāñk kar dekhā jahannum meñ to ye aaya nazar
degeñ hī degeñ khanaktī thiiñ jidhar dekho udhar
taish meñ aakar farishtoñ se kiyā tab yuuñ ḳhitāb
zindagī bhar kī riyāzat kā sila ye hai janāb
ham to duniyā meñ bhī rūkhī sūkhī khā kar hī jiye
ne.amatoñ kī bārisheñ thī sirf ġhairoñ ke liye
ik sharābī kī lahad par raat bhar hanDe jale
bar mazār-e-mā ġharībāñ nai charāġhe nai gule
sun ke ye un ko farishtoñ ne diyā tab yuuñ javāb
aap kā shikva to sar āñkhoñ pe hai aalī janāb
ham haiñ supply zarūrat ke mutābiq de rahe
chaar bandoñ ke liye degeñ chaḌhāne se rahe
us kī rahmat se ye jannat jaise hī bhar jā.egī
har taraf degeñ khanakne kī sadā tab aa.egī
maulwi jannat mein pahonche to ajab the silsile
nashte mein subh ko bas chae aur pape mile
jhank kar dekha jahannum mein to ye aaya nazar
degen hi degen khanakti thin jidhar dekho udhar
taish mein aakar farishton se kiya tab yun KHitab
zindagi bhar ki riyazat ka sila ye hai janab
hum to duniya mein bhi rukhi sukhi kha kar hi jiye
neamaton ki barishen thi sirf ghairon ke liye
ek sharabi ki lahad par raat bhar hanDe jale
bar mazar-e-ma ghariban nai charaghe nai gule
sun ke ye un ko farishton ne diya tab yun jawab
aap ka shikwa to sar aankhon pe hai aali janab
hum hain supply zarurat ke mutabiq de rahe
chaar bandon ke liye degen chaDhane se rahe
us ki rahmat se ye jannat jaise hi bhar jaegi
har taraf degen khanakne ki sada tab aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.