mausam
bhīge bhīge mausam meñ vo
tīkhe naqsh aur nainoñ vaalī
ik laḌkī sharmīlī sī
chhat par aatī jaatī apne āñchal ko lahrātī thī
hañste hañste bārish meñ vo bhīgī zulfeñ phailā kar
jaise rang uḌātī thī
phir siñghār kī mez pe vo
pahroñ apnī raushan raushan āñkheñ taktī
dāñtoñ meñ phir hoñT dabā kar itrātī aur
ḳhud se hī sharmātī thī
nazmeñ likhtī ġhazleñ kahtī
giile baal sukhātī thī
itne achchhe bhīge bhīge mausam meñ ab
us kā apnī chhat par aanā bantā hai
hañste hañste bārish meñ ab rang uḌānā bantā hai
dāñtoñ meñ phir hoñT dabā kar
itrānā bhī aur sharmānā bantā hai
lekin ab
vo siñghār kī Table par
apnī bhīgī bhīgī āñkheñ pahroñ taktī rahtī hai
nazmeñ sochtī rahtī hai aur
ġhazleñ kahtī rahtī hai
haath kī rekhāoñ se ulajh kar
apne hoñT
miich ke āñkheñ dhīre dhīre apne ashk bahātī hai
ā.īne ke sāmne baiThī bhīge ḳhvāb sukhātī hai
bhige bhige mausam mein wo
tikhe naqsh aur nainon wali
ek laDki sharmili si
chhat par aati jati apne aanchal ko lahraati thi
hanste hanste barish mein wo bhigi zulfen phaila kar
jaise rang uDati thi
phir singhaar ki mez pe wo
pahron apni raushan raushan aankhen takti
danton mein phir honT daba kar itraati aur
KHud se hi sharmati thi
nazmen likhti ghazlen kahti
gile baal sukhati thi
itne achchhe bhige bhige mausam mein ab
us ka apni chhat par aana banta hai
hanste hanste barish mein ab rang uDana banta hai
danton mein phir honT daba kar
itrana bhi aur sharmana banta hai
lekin ab
wo singhaar ki Table par
apni bhigi bhigi aankhen pahron takti rahti hai
nazmen sochti rahti hai aur
ghazlen kahti rahti hai
hath ki rekhaon se ulajh kar
apne honT
mich ke aankhen dhire dhire apne ashk bahati hai
aaine ke samne baiThi bhige KHwab sukhati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.