mausam ki wirasat
khet pyāse haiñ
fazā hāñptī hai
jā-ba-jā ukhḌī jaḌeñ chāTtī ik gaa.e
ke sūkhe hue maTiyāle khuroñ kī mānind
phaT ga.ī hai jo zamīñ
us meñ ugī jhāḌiyāñ
be-barg-o-samar rahtī haiñ
mausam ho koī
kisī fālij-zada bīmār ke akḌe hue panje kī tarah
Tahniyāñ so.e falak dekhtī fariyād-kunāñ haiñ kab se
mahz fariyād se ai dost magar kyā hogā
joḌtā rahtā hai mausam kī virāsat se diloñ ko
jo kisī mez-numā shai ye ka.ī din se paḌā
chā.e-ḳhāne kā phaTā sā aḳhbār
ik nazar aao ise dekh to leñ
haal aisā hai ki ab jo bhī ho achchhā hogā
khet pyase hain
faza hanpti hai
ja-ba-ja ukhDi jaDen chaTti ek gae
ke sukhe hue maTiyale khuron ki manind
phaT gai hai jo zamin
us mein ugi jhaDiyan
be-barg-o-samar rahti hain
mausam ho koi
kisi falij-zada bimar ke akDe hue panje ki tarah
Tahniyan soe falak dekhti fariyaad-kunan hain kab se
mahz fariyaad se ai dost magar kya hoga
joDta rahta hai mausam ki wirasat se dilon ko
jo kisi mez-numa shai ye kai din se paDa
chae-KHane ka phaTa sa aKHbar
ek nazar aao ise dekh to len
haal aisa hai ki ab jo bhi ho achchha hoga
- Book : pushtara (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.