mausam
shaam ke sahme hue lamhāt
band sī bojhal fazā
sabz patte daraḳhtoñ pe
yuuñ jaise
sog meñ aa.e baiThe hoñ
aise chup-chāp
kisī larzish se begāne
sar-nigūñ jaise
ik hujūm-e-gunāh-gārāñ ho
din-bhar ke safar se thak kar
sūraj
kho kar apnī tābānī
ek be-jān se raahī kī tarah
lauTtā hai
apne ghar ke āñgan meñ
gard se ālūd fazā
dard se bojhal sāñseñ
ruk bhī jaa.eñ agar
to koī ziyāñ kyā hogā
sham ke sahme hue lamhat
band si bojhal faza
sabz patte daraKHton pe
yun jaise
sog mein aae baiThe hon
aise chup-chap
kisi larzish se begane
sar-nigun jaise
ek hujum-e-gunah-garan ho
din-bhar ke safar se thak kar
suraj
kho kar apni tabani
ek be-jaan se rahi ki tarah
lauTta hai
apne ghar ke aangan mein
gard se aalud faza
dard se bojhal sansen
ruk bhi jaen agar
to koi ziyan kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.