Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut hayat ke shajar ka phal hai

Zulfeqar Ahmad

maut hayat ke shajar ka phal hai

Zulfeqar Ahmad

MORE BYZulfeqar Ahmad

    maut hayāt ke shajar phal hai

    ise bhī chakh kar dekho

    bahut kināre dekh chuke

    ab nadī se mil kar dekho

    ḳhaak pe apnī tadbīroñ se

    naqsh banā.e kyā kyā

    bahut chale in rastoñ par

    ab havā meñ chal kar dekho

    aur bhī dasht haiñ aur bhī dar haiñ

    is bastī se mīloñ bāhar

    un jaise aur bhī ghar haiñ

    jin ke āñgan jalte bujhte

    aise kuchh shām-o-sahar haiñ

    jin talāsh meñ

    sab dar jhāñke

    qarya qarya chaḌhte chāñd aur Dūbte sūraj

    koh-o-daman sab khole

    shāyad vo bhī vahīñ mile ab

    us ghar chal kar dekho

    maut hayāt ke shajar phal hai

    ise bhī chakkar kar dekho

    maut hayat ke shajar ka phal hai

    ise bhi chakh kar dekho

    bahut kinare dekh chuke

    ab nadi se mil kar dekho

    KHak pe apni tadbiron se

    naqsh banae kya kya

    bahut chale in raston par

    ab hawa mein chal kar dekho

    aur bhi dasht hain aur bhi dar hain

    is basti se milon bahar

    un jaise hi aur bhi ghar hain

    jin ke aangan jalte bujhte

    aise hi kuchh sham-o-sahar hain

    jin ki talash mein

    sab dar jhanke

    qarya qarya chaDhte chand aur Dubte suraj

    koh-o-daman sab khole

    shayad wo bhi wahin mile ab

    us ghar chal kar dekho

    maut hayat ke shajar ka phal hai

    ise bhi chakkar kar dekho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now