maut ka dusra nam
us ko albam dikhāte hue
maiñ batlāyā
ye dekhiye ye merā dost hai
aaj kal ġhāliban kenya meñ
rabar kī kisī farm meñ ūñche ohde pe hai
us ne chehre ko lambā banā kar kahā
maiñ use jāntā huuñ
ka.ī baar do-chār paig us ke hamrāh bhī pī chukā huuñ
ye chhe saal pahle mujhe kenya meñ milā thā
magar us mulāqāt ke dūsre hī baras
rail ke hādse meñ ye maarā gayā thaa!
fazā daf.atan dard se bhar ga.ī
samajh meñ na aatā thā maiñ us kī Dhāras bañdhā.ūñ
ki ḳhud chand taskīn ke lafz chāhūñ
to aisā bhī hotā hai
ye shaḳhs jo mere albam ke is kaale panne ke albam pe baiThā huā muskurātā hai
aaj tak mere nazdīk zinda thā ye
aur mere ta.iiñ do ghaḌī pesh-tar hī marā hai
to kyā maut kā dūsrā naam hai āgahī!
us ko albam dikhate hue
main batlaya
ye dekhiye ye mera dost hai
aaj kal ghaaliban kenya mein
rabar ki kisi farm mein unche ohde pe hai
us ne chehre ko lamba bana kar kaha
main use jaanta hun
kai bar do-chaar paig us ke hamrah bhi pi chuka hun
ye chhe sal pahle mujhe kenya mein mila tha
magar us mulaqat ke dusre hi baras
rail ke hadse mein ye mara gaya tha!
faza dafatan dard se bhar gai
samajh mein na aata tha main us ki Dhaaras bandhaun
ki KHud chand taskin ke lafz chahun
to aisa bhi hota hai
ye shaKHs jo mere albam ke is kale panne ke albam pe baiTha hua muskuraata hai
aaj tak mere nazdik zinda tha ye
aur mere tain do ghaDi pesh-tar hi mara hai
to kya maut ka dusra nam hai aagahi!
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 341)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.