Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut ka intizar safed chaak se

Aslam Emadi

maut ka intizar safed chaak se

Aslam Emadi

MORE BYAslam Emadi

    maut intizār safed chaak se

    āsmān ke siyāh māthe par

    do naam

    ek allāh ek rasūl

    phir safed chaak

    donoñ hoñToñ ke darmiyān

    us duudh shiir aur shahad milā

    baa.eñ jānib muḌ kar

    ek dīvār par karl marx naam

    us par ugī huiiñ ḳhaufnāk zabāneñ

    aur

    us ke atrāf khule ho bijlī ke taar

    saañp laplapāte hue

    daa.eñ jānib

    ek khulī huī khiḌkī

    ek jhoñpaḌī jis meñ nahātī huī ek

    doshīza

    pistānoñ se ubhartī huī zarḳhezī

    kūlhoñ par chamaktī huī dhuup

    ḳhudāvand zamīn raushan ho rahī hai

    āñkheñ band

    TuuTe hue khilaunoñ dukān

    aur un meñ paḌe hue

    lañgḌe ghoḌe aur be-sūñD hāthī

    vaqt baḌā vaznī hai

    aur sust raftār

    maut ka intizar safed chaak se

    aasman ke siyah mathe par

    do nam

    ek allah ka ek rasul ka

    phir safed chaak

    donon honTon ke darmiyan

    us ka dudh shir aur shahad mila

    baen jaanib muD kar

    ek diwar par karl marx ka nam

    us par ugi huin KHaufnak zabanen

    aur

    us ke atraf khule ho bijli ke tar

    sanp laplapate hue

    daen jaanib

    ek khuli hui khiDki

    ek jhonpaDi jis mein nahati hui ek

    doshiza

    pistanon se ubharti hui zarKHezi

    kulhon par chamakti hui dhup

    KHudawand zamin raushan ho rahi hai

    aankhen band

    TuTe hue khilaunon ki dukan

    aur un mein paDe hue

    langDe ghoDe aur be-sunD hathi

    waqt baDa wazni hai

    aur sust raftar

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    maut ka intizar safed chaak se Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now