maut ki justuju
chehre rūhoñ kī be-mā.egī
zehn kī tīrgī ke siyah aa.ine
sard ā.ankhoñ ke tārīk rauzan meñ dubkā huā ik ḳhalā
ek sannāTā hoñToñ ke basta makāñ meñ hai soyā huā
ruuh ko jehd-e-tahsīl-e-zar khā ga.ī
zehn kī raushnī nā-ummīdī kī zulmat meñ dhundlā ga.ī
āñkheñ nākāmiyoñ ke khañDar meñ makāñ ke tasavvur se aarī huiiñ
hoñT kashkol daryūza-gar ban ke lafzoñ ke ismat kī dūkāñ bane
aur ab kuchh nahīñ
aur ab kuchh nahīñ
ek dīvāna gar ḳhvāhish-e-zīst hai
ḳhāl-o-ḳhat dast-o-pā
sīna-o-sar shikam aur zer-e-shikam
ek dīvāna gar ḳhvāhish-e-zīst a.azā meñ dauḌī huī
ek be-ma.anī bekār apāhij havas-e-jism ke tāne-bāne ko thāme hue
sirf us ek lamhe kī aamad kā hai intizār
jab ki zehnoñ ke rūhoñ ke aa.ine
ā.ankhoñ meñ dubkā ḳhat
aur hoñToñ se lipTā sukūt
ek baar ḳhvāhish-e-zīst se kah sakeñ
ziist ham par hamesha se ilzām hai
ham na zinda rahe haiñ kabhī aur na zinda haiñ ab
ek dīvāna-gar ḳhvāhish-e-marg hī thī hamāre liye zindagī
chehre ruhon ki be-maegi
zehn ki tirgi ke siyah aaine
sard aaankhon ke tarik rauzan mein dubka hua ek KHala
ek sannaTa honTon ke basta makan mein hai soya hua
ruh ko jehd-e-tahsil-e-zar kha gai
zehn ki raushni na-ummidi ki zulmat mein dhundla gai
aankhen nakaamiyon ke khanDar mein makan ke tasawwur se aari huin
honT kashkol daryuza-gar ban ke lafzon ke ismat ki dukan bane
aur ab kuchh nahin
aur ab kuchh nahin
ek diwana gar KHwahish-e-zist hai
KHal-o-KHat dast-o-pa
sina-o-sar shikam aur zer-e-shikam
ek diwana gar KHwahish-e-zist aaza mein dauDi hui
ek be-mani bekar apahij hawas-e-jism ke tane-bane ko thame hue
sirf us ek lamhe ki aamad ka hai intizar
jab ki zehnon ke ruhon ke aaine
aaankhon mein dubka KHat
aur honTon se lipTa sukut
ek bar KHwahish-e-zist se kah saken
zist hum par hamesha se ilzam hai
hum na zinda rahe hain kabhi aur na zinda hain ab
ek diwana-gar KHwahish-e-marg hi thi hamare liye zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.