maut ki KHushbu
judā.ī
mohabbat ke dariyā-e-ḳhūñ kī
muāvin nadī hai
vafā
yaad kī shāḳh-e-marjāñ se
lipTī huī hai
dil-ārām o ushshāq sab
ḳhauf ke dā.ere meñ khaḌe haiñ
havāoñ meñ bosoñ kī baasī mahak hai
nigāhoñ meñ ḳhvāboñ ke TuuTe hue aa.ine haiñ
diloñ ke jazīroñ meñ
ashkoñ ke nīlam chhupe haiñ
ragoñ meñ koī rūd-e-ġham bah rahā hai
magar dard ke biij paḌte raheñge
magar log milte bichhaḌte raheñge
ye sab ġham purāne
ye milne bichhaḌne ke mausam purāne
purāne ġhamoñ se
na.e ġham ulajhne chale haiñ
laboñ par na.e niil
dil meñ na.e pech paḌne lage haiñ
ġhanīm-āsmānoñ meñ
dushman jahāzoñ kī sargoshiyāñ haiñ
sitāroñ kī jaltī huī bastiyāñ haiñ
aur āñkhoñ ke rādār par
sirf tārīk parchhā.iyāñ haiñ
hameñ maut kī tez ḳhushbū ne pāgal kiyā hai
umīdoñ kī surḳh āb-dozoñ meñ sahme
tabāhī ke kaale samundar meñ
bahte chale jā rahe haiñ
karāñ-tā-karāñ
ek gāḌhā kasīlā dhuāñ hai
zamīñ terī miTī kā jaadū kahāñ hai
judai
mohabbat ke dariya-e-KHun ki
muawin nadi hai
wafa
yaad ki shaKH-e-marjaan se
lipTi hui hai
dil-aram o ushshaq sab
KHauf ke daere mein khaDe hain
hawaon mein boson ki basi mahak hai
nigahon mein KHwabon ke TuTe hue aaine hain
dilon ke jaziron mein
ashkon ke nilam chhupe hain
ragon mein koi rud-e-gham bah raha hai
magar dard ke bij paDte rahenge
magar log milte bichhaDte rahenge
ye sab gham purane
ye milne bichhaDne ke mausam purane
purane ghamon se
nae gham ulajhne chale hain
labon par nae nil
dil mein nae pech paDne lage hain
ghanim-asmanon mein
dushman jahazon ki sargoshiyan hain
sitaron ki jalti hui bastiyan hain
aur aankhon ke radar par
sirf tarik parchhaiyan hain
hamein maut ki tez KHushbu ne pagal kiya hai
umidon ki surKH aab-dozon mein sahme
tabahi ke kale samundar mein
bahte chale ja rahe hain
karan-ta-karan
ek gaDha kasila dhuan hai
zamin teri miTi ka jadu kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.