maut meri jaan maut
maut merī jaan maut
tū baḌī muddat se merī taak meñ hai
zindagī mamtā bharī maañ
aur tū ai maut ik māshūqa vā-āġhosh
ret aur patthar hazāroñ saal ham-bistar rahe lekin
ghaas kī pattī bhī paidā kar na paa.e
zindagī aur ye zamāna bhī baḌī muddat se ham-āġhosh haiñ
ḳhair is qisse ko chhoḌ kar
dekh
rīchh ke pairoñ sā dast-e-sūd-ḳhvār
apne TeḌhe meḌhe nāḳhun
yā tirī vahshī-nigāh
mere siine meñ gaḌ diye jā rahā hai
aañkh
ḳhalvat kī jhulastī ret par
āb-pāsh
aur taptī ret se
koī koñpal
koī rañg
koī ḳhushbū
koī shai uThtī nahīñ
ek bhūrā-pan
ḳhalvat-e-be-rañg ko bad-rañg kar jaatā hai bas
raushnā.ī ḳhushk nib TuuTī huī kāġhaz kī āñkheñ nam
dīmakoñ kā ghar dimāġh
aur merī taak meñ tū
kyuuñ rag-o-pai meñ sarāyat kar rahā hai ye siyāh ehsās
lamha lamha ḳhatm hotā jā rahā huuñ
aañkh se Tapke hue ashkoñ ke saath
qatra qatra ḳhatm!
nuqta nuqta ḳhatm!
chhah tabassum qarz le kar
suud meñ apne badan kā gosht adā karne ke har va.ade ke saath
ḳhatm hote jā rahe mujh ko agar pā bhī ga.ī to kyā karegī
maut merī jaan maut
maut meri jaan maut
tu baDi muddat se meri tak mein hai
zindagi mamta bhari man
aur tu ai maut ek mashuqa wa-aghosh
ret aur patthar hazaron sal ham-bistar rahe lekin
ghas ki patti bhi paida kar na pae
zindagi aur ye zamana bhi baDi muddat se ham-aghosh hain
KHair is qisse ko chhoD kar
dekh
richh ke pairon sa dast-e-sud-KHwar
apne TeDhe meDhe naKHun
ya teri wahshi-nigah
mere sine mein gaD diye ja raha hai
aankh
KHalwat ki jhulasti ret par
aab-pash
aur tapti ret se
koi konpal
koi rang
koi KHushbu
koi shai uThti nahin
ek bhura-pan
KHalwat-e-be-rang ko bad-rang kar jata hai bas
raushnai KHushk nib TuTi hui kaghaz ki aankhen nam
dimakon ka ghar dimagh
aur meri tak mein tu
kyun rag-o-pai mein sarayat kar raha hai ye siyah ehsas
lamha lamha KHatm hota ja raha hun
aankh se Tapke hue ashkon ke sath
qatra qatra KHatm!
nuqta nuqta KHatm!
chhah tabassum qarz le kar
sud mein apne badan ka gosht ada karne ke har wade ke sath
KHatm hote ja rahe mujh ko agar pa bhi gai to kya karegi
maut meri jaan maut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.