maut meri sakhi
maut merī sakhī
mere hī sañg āñgan meñ khelī baḌhī
merī poshāk mere dupaTTe pe vo apne hī pyāre hāthoñ se
chāñd aur taare ugātī rahī
zindagānī se mujh ko laḌātī rahī
maut merī sakhī
mere hī sañg khāne ke luqme bhare
maiñ bharī chāñd rātoñ meñ miTTī kī korī surāhī se
paanī pilātī rahī
sardiyoñ kī ThiThurtī siyāh raat meñ
aur safede se labrez kohre bhare
din ko apne khule bāzuoñ meñ bulātī rahī
maut merī sakhī
merī tanhā.iyoñ kī kaḌī dhuup meñ
chhāñv ban kar mire saath chaltī rahī
maut merī sakhī merī nabzoñ kī vo rāzdāñ
mere āñsuoñ kī sab āhaTeñ is ke hāthoñ se likkhī ga.iiñ
nafratoñ aur mohabbat kī sab parchiyāñ mere dāman meñ girtī rahīñ
maut merī sakhī un ko chuntī rahī
aaj merī sakhī maut merī sakhī
mujh se hī ruuTh ke mere ghar se chalī
maiñ vidā.ī ke sab giit hoñToñ meñ bhīñche
use dekhtī hī rahī
mujhe chhoḌ kar yuuñ na jaao
tumhāre binā mere āñgan kā tanhā shajar
sūkhte sūkhte ek din is zamīn par bikhar jā.egā
aur ma.asūm chiḌiyāñ binā maut mar jā.eñgī
zindagī se jo naatā hai kaT jā.egā
maut merī sakhī
aao phir mujh ko oḌho mujhe pahan lo
aao phir mujh ko apne gale se lagā lo
mohabbat se phir āsmāñ par uThā lo
chalī aao merī sakhī
maut merī sakhī
maut meri sakhi
mere hi sang aangan mein kheli baDhi
meri poshak mere dupaTTe pe wo apne hi pyare hathon se
chand aur tare ugati rahi
zindagani se mujh ko laDati rahi
maut meri sakhi
mere hi sang khane ke luqme bhare
main bhari chand raaton mein miTTi ki kori surahi se
pani pilati rahi
sardiyon ki ThiThurti siyah raat mein
aur safede se labrez kohre bhare
din ko apne khule bazuon mein bulati rahi
maut meri sakhi
meri tanhaiyon ki kaDi dhup mein
chhanw ban kar mere sath chalti rahi
maut meri sakhi meri nabzon ki wo raazdan
mere aansuon ki sab aahaTen is ke hathon se likkhi gain
nafraton aur mohabbat ki sab parchiyan mere daman mein girti rahin
maut meri sakhi un ko chunti rahi
aaj meri sakhi maut meri sakhi
mujh se hi ruTh ke mere ghar se chali
main widai ke sab git honTon mein bhinche
use dekhti hi rahi
mujhe chhoD kar yun na jao
tumhaare bina mere aangan ka tanha shajar
sukhte sukhte ek din is zamin par bikhar jaega
aur masum chiDiyan bina maut mar jaengi
zindagi se jo nata hai kaT jaega
maut meri sakhi
aao phir mujh ko oDho mujhe pahan lo
aao phir mujh ko apne gale se laga lo
mohabbat se phir aasman par uTha lo
chali aao meri sakhi
maut meri sakhi
- Book : meyaar (Pg. 148)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.