maut mujh par bar-haq nahin
maiñ marne ke liye paidā nahīñ huā
mujh par kisī qism kā hamla
us muāhide kī ḳhilāf-varzī hogī
jis par ek ġhaibī haath aur maiñ ne
dastaḳhat kiye the
aur jis kī rū se
maut mujh par bar-haq nahīñ Thahrī thī
zinda rahnā ab merā dard-e-sar nahīñ
maiñ ye farīza
tārīḳh ko sauñp chukā huuñ
tārīḳh jo merī ragoñ meñ
zahr kī sūrat dāḳhil huī
aur ab amrit ban kar
mere masāmoñ se
qatra qatra Tapak rahī hai
maut se merī koī shanāsā.ī nahīñ
maiñ us se darḳhvāst karūñgā
vo mere ḳhilāf
kisī sāzish meñ sharīk na ho
ki mere paas
muāhide kī jo naql mahfūz hai
us par us ke dastaḳhat
ba-taur-e-gavāh maujūd haiñ
main marne ke liye paida nahin hua
mujh par kisi qism ka hamla
us muahide ki KHilaf-warzi hogi
jis par ek ghaibi hath aur main ne
dastaKHat kiye the
aur jis ki ru se
maut mujh par bar-haq nahin Thahri thi
zinda rahna ab mera dard-e-sar nahin
main ye fariza
tariKH ko saunp chuka hun
tariKH jo meri ragon mein
zahr ki surat daKHil hui
aur ab amrit ban kar
mere masamon se
qatra qatra Tapak rahi hai
maut se meri koi shanasai nahin
main us se darKHwast karunga
wo mere KHilaf
kisi sazish mein sharik na ho
ki mere pas
muahide ki jo naql mahfuz hai
us par us ke dastaKHat
ba-taur-e-gawah maujud hain
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 155)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.