maut se maut tak
mujhe apnī maut se bahut mohabbat hai
maut zindagī kā sab se baḌā sach hai
mohabbatoñ meñ judā.ī
vasl ke baad kā koī marhala hotī hai
magar ye mohabbat rivāyatī nahīñ
yahāñ to vasl ke intizār meñ
puurī zindagī judā.ī ko daan karnā paḌtī hai
mohabbat aur tashvīsh ke ta.alluq se kis ko inkār hogā
aur maut se ziyāda tashvīsh-nāk shai aur kyā hogī
mujhe apnī maut se ishq hargiz nahīñ
ye merā junūn bhī nahīñ
sirf mohabbat hai
vasl kā lutf isī sūrat meñ aatā hai
jab vo apne muqarrara vaqt par ho
maiñ vaqt se pahle nahīñ marnā chāhtā
mujhe har us maut se shadīd nafrat hai
jo vaqt se pahle
kisī ko gale lagā letī hai
vo maut jo golī ke bārūd meñ chhup kar
haftoñ apne shikār kā pīchhā kartī hai
mujhe ek nazar nahīñ bhātī
maiñ har din us maut kā galā dabochnā chāhtā huuñ
jo log ḳhud apne halq par
aur apnī nabzoñ par tahrīr karte haiñ
mujhe vo uḌtī huī maut haftoñ khultī hai
jo kisī chhat par girne se pahle
barbād hone vaale gharoñ kī gintī
bhuul jaatī hai
mujhe ghin aatī hai jacket meñ qaid us maut se
jis ko bachche aur būḌhe kā farq nazar nahīñ aatā
jo āzād ho kar
saiñkaḌoñ sīnoñ par taqsīm ho jaatī hai
nitrogen ke nucleus meñ rakh kar
shahroñ par girā.ī jaane vaalī maut jo aane vaalī zinda nasloñ ke a.azā aur ḳhadd-o-ḳhāl se jhāñktī hai
sāloñ tak merā ḳhuun chūstī hai
mujhe apnī maut se mohabbat ke alāva
har us maut se nafrat hai
jo malak-ul-maut ke Time Table meñ nahīñ likhī huī
mujhe apni maut se bahut mohabbat hai
maut zindagi ka sab se baDa sach hai
mohabbaton mein judai
wasl ke baad ka koi marhala hoti hai
magar ye mohabbat riwayati nahin
yahan to wasl ke intizar mein
puri zindagi judai ko dan karna paDti hai
mohabbat aur tashwish ke talluq se kis ko inkar hoga
aur maut se ziyaada tashwish-nak shai aur kya hogi
mujhe apni maut se ishq hargiz nahin
ye mera junun bhi nahin
sirf mohabbat hai
wasl ka lutf isi surat mein aata hai
jab wo apne muqarrara waqt par ho
main waqt se pahle nahin marna chahta
mujhe har us maut se shadid nafrat hai
jo waqt se pahle
kisi ko gale laga leti hai
wo maut jo goli ke barud mein chhup kar
hafton apne shikar ka pichha karti hai
mujhe ek nazar nahin bhati
main har din us maut ka gala dabochna chahta hun
jo log KHud apne halq par
aur apni nabzon par tahrir karte hain
mujhe wo uDti hui maut hafton khulti hai
jo kisi chhat par girne se pahle
barbaad hone wale gharon ki ginti
bhul jati hai
mujhe ghin aati hai jacket mein qaid us maut se
jis ko bachche aur buDhe ka farq nazar nahin aata
jo aazad ho kar
sainkaDon sinon par taqsim ho jati hai
nitrogen ke nucleus mein rakh kar
shahron par girai jaane wali maut jo aane wali zinda naslon ke aaza aur KHadd-o-KHal se jhankti hai
salon tak mera KHun chusti hai
mujhe apni maut se mohabbat ke alawa
har us maut se nafrat hai
jo malak-ul-maut ke Time Table mein nahin likhi hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.