maut
ye shaam
itnī thakan-ālūd aur itnī bojhal
ki mazīd ek qadam bhī
dushvār ho ke rah jaa.e
ye shaam
itnī hirāsāñ
ki lab apne
duā kā lafz bhī dohrā na sakeñ
ye shaam
itnī mukaddar ki chaa.e kā piyāla
bas ek ghūñT meñ
zā.iqa hī kho baiThe
ye shaam
itnī balā-ḳhez ki niiñd kī pariyāñ
āḳhirī pahar meñ aa.eñ
zarā sī der ko Thahreñ
aur ruuTh kar chalī jaa.eñ
ye shaam
aisī sharāra ki jaañ jhulas jaa.e
ye shaam
itnī bhayānak ki jaise mahbas ho
ye shaam
itnī siyah-fām ki āsmāñ pe shafaq
aur ruuTh kar chalī jaa.e
ye shaam
aisī sharāra ki jaañ jhulas jaa.e
ye shaam
itnī bhayānak ki jaise mahbas ho
ye shaam
itnī siyah-fām ki āsmāñ pe shafaq
bas ek pal hī Thahar kar fanā ho jaa.e
ye shaam
itnī fasurda ki āḳhir-e-shab
sahar ḳhud apnā hī chehra lahūluhān kar Daale
ufuq se jhāñk kar
ufaq hī pe mar jaa.e
ye sham
itni thakan-alud aur itni bojhal
ki mazid ek qadam bhi
dushwar ho ke rah jae
ye sham
itni hirasan
ki lab apne
dua ka lafz bhi dohra na saken
ye sham
itni mukaddar ki chae ka piyala
bas ek ghunT mein
zaiqa hi kho baiThe
ye sham
itni bala-KHez ki nind ki pariyan
aaKHiri pahar mein aaen
zara si der ko Thahren
aur ruTh kar chali jaen
ye sham
aisi sharara ki jaan jhulas jae
ye sham
itni bhayanak ki jaise mahbas ho
ye sham
itni siyah-fam ki aasman pe shafaq
aur ruTh kar chali jae
ye sham
aisi sharara ki jaan jhulas jae
ye sham
itni bhayanak ki jaise mahbas ho
ye sham
itni siyah-fam ki aasman pe shafaq
bas ek pal hi Thahar kar fana ho jae
ye sham
itni fasurda ki aaKHir-e-shab
sahar KHud apna hi chehra lahuluhan kar Dale
ufuq se jhank kar
ufaq hi pe mar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.