maut
zindagī ko ik jue kī tarah khelā umr bhar
aur koī baazī kisī manzil pe bhī haarā nahīñ
daañv jitne bhī lagā.e sab meñ kuchh paatā gayā
kyā huā kartā hai khonā ye kabhī jaanā nahīñ
mil gayā āḳhir meñ lekin ek aisā bhī harīf
haif jis se haar baiThā maiñ ḳhud apnā hī vajūd
chaal kuchh aisī chalī us ne ki sab kuchh luT gayā
ho gayā saarā asāsa hast se pal bhar meñ buud
zindagi ko ek jue ki tarah khela umr bhar
aur koi bazi kisi manzil pe bhi haara nahin
danw jitne bhi lagae sab mein kuchh pata gaya
kya hua karta hai khona ye kabhi jaana nahin
mil gaya aaKHir mein lekin ek aisa bhi harif
haif jis se haar baiTha main KHud apna hi wajud
chaal kuchh aisi chali us ne ki sab kuchh luT gaya
ho gaya sara asasa hast se pal bhar mein bud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.