may yaum-ul-hisab
mujhe be-rahm hastī ke ziyāñ-ḳhāne meñ kyuuñ bhejā gayā
kyuuñ halqa-e-zanjīr meñ rakh dī ga.iiñ be-tābiyāñ merī
har ik manzar mirī nazroñ kā juuyā thā
farozāñ shāḳh-sāroñ par hujūm-e-rañg-o-bū
uḌtā huā bar-ravāñ
sīmāb-pā maujeñ
sabā kā raqs-e-be-parvā
shab-e-mahtāb kā afsūñ
mah-o-anjum ke raqsāñ dā.ere
rū-e-shafaq
tābāñ ufuq
dariyāoñ kī raftār
shab ke jāgte asrār
sahrā kā munavvar sīna-e-uryāñ
tilism-e-be-karāñ ke ḳhvāb-gūñ saa.e
mirī rātoñ meñ misl-e-barq lahrā.e
sitāroñ kī tajallī meñ thā harf-e-kun kā afsāna
baḌā faiyyaz thā fitrat kā kāshāna
ka.ī sahrā mire gām-e-tamannā ke shanāsā the
vo harf-o-saut kī vaadī
vo zauq-e-sher kā jaada
vo irfāñ ke gurezāñ āstānoñ par jabīñ-sā.ī
vo dānish kī pazīrā.ī
vo ma.anī kī ghanerī chhāñv meñ
zehn-e-rasā kā kashf vo
asrār ke parde ke pīchhe
dil kī mahshar-ḳhez āvāzeñ
dil kī mahshar-ḳhez āvāzeñ
vo ġham-hā-e-nihānī se farozāñ zauq-e-bīnā.ī
vo dāman kā har ik ḳhār-e-muġhīlāñ se ulajhnā
tūl-o-arz dasht-o-dariyā paar kar jaanā
vo har zarre meñ dhartī kī sadā sunñā
vo har qatre ke ā.īne meñ
nūr-e-husn-e-mutlaq kā larazna
dil-e-nazar harf-o-hunar kā ek ho jaanā
takallum justujū raftār-o-ġham kā mudda.ā paanā
koī īsā-nafas detā thā nām-e-zīst nazrāna
laraztā iltihāb āgahī se thā mirī nazroñ kā paimāna
gurezāñ sā.atoñ ke kārvāñ ko kis ne pakḌā hai
nazar mahv-e-ma.āl-e-dosh-o-fardā hai
ka.ī dīvār-o-saqaf-o-sā.ibañ ke munjamid chehre
ka.ī ūñchī fasīleñ raah meñ haa.il
ka.ī be-faiz kāvish-hā-e-tanhā.ī
ka.ī be-mehriyāñ paikār be-mafhum pur-mā.il
ka.ī tīroñ ne merī ḳhema-gāh-e-shaq ko chedā
ka.ī tarkash hue is jism par ḳhālī
huī jaatī hai razm-e-zindagānī muzmahil ghāyal
nishāt-o-dard kī vo ḳhosha-chīnī chhoḌ dī ham ne
anān-e-husn-e-imkāñ toḌ dī ham ne
sukūn shaam hai
bujhne lage saare ayāġh-e-garm-raftārī
shikasta-tār hastī kī tarah larzāñ haiñ
gird-o-pesh ke shab-tāb nazāre
vo saa.at aan pahuñchī hai
nigāh-e-vāpsīñ ke muntazir haiñ TūTte taare
mujhe shāyad himāla kī falak-paimā.iyāñ āvāz detī haiñ
maiñ apnī maut se
in barf-zāroñ kī daraḳhshanda ma.ayyat meñ milūñgī
toḌ dūñgī halqa-e-zanjīr mahjūrī
mujhe be-rahm hasti ke ziyan-KHane mein kyun bheja gaya
kyun halqa-e-zanjir mein rakh di gain be-tabiyan meri
har ek manzar meri nazron ka juya tha
farozan shaKH-saron par hujum-e-rang-o-bu
uDta hua bar-rawan
simab-pa maujen
saba ka raqs-e-be-parwa
shab-e-mahtab ka afsun
mah-o-anjum ke raqsan daere
ru-e-shafaq
taban ufuq
dariyaon ki raftar
shab ke jagte asrar
sahra ka munawwar sina-e-uryan
tilism-e-be-karan ke KHwab-gun sae
meri raaton mein misl-e-barq lahrae
sitaron ki tajalli mein tha harf-e-kun ka afsana
baDa faiyyaz tha fitrat ka kashana
kai sahra mere gam-e-tamanna ke shanasa the
wo harf-o-saut ki wadi
wo zauq-e-sher ka jada
wo irfan ke gurezan aastanon par jabin-sai
wo danish ki pazirai
wo mani ki ghaneri chhanw mein
zehn-e-rasa ka kashf wo
asrar ke parde ke pichhe
dil ki mahshar-KHez aawazen
dil ki mahshar-KHez aawazen
wo gham-ha-e-nihani se farozan zauq-e-binai
wo daman ka har ek KHar-e-mughilan se ulajhna
tul-o-arz dasht-o-dariya par kar jaana
wo har zarre mein dharti ki sada sunna
wo har qatre ke aaine mein
nur-e-husn-e-mutlaq ka larazna
dil-e-nazar harf-o-hunar ka ek ho jaana
takallum justuju raftar-o-gham ka muddaa pana
koi isa-nafas deta tha nam-e-zist nazrana
larazta iltihab aagahi se tha meri nazron ka paimana
gurezan saaton ke karwan ko kis ne pakDa hai
nazar mahw-e-maal-e-dosh-o-farda hai
kai diwar-o-saqaf-o-saiban ke munjamid chehre
kai unchi fasilen rah mein hail
kai be-faiz kawish-ha-e-tanhai
kai be-mehriyan paikar be-mafhum pur-mail
kai tiron ne meri KHema-gah-e-shaq ko cheda
kai tarkash hue is jism par KHali
hui jati hai razm-e-zindagani muzmahil ghayal
nishat-o-dard ki wo KHosha-chini chhoD di hum ne
anan-e-husn-e-imkan toD di hum ne
sukun sham hai
bujhne lage sare ayagh-e-garm-raftari
shikasta-tar hasti ki tarah larzan hain
gird-o-pesh ke shab-tab nazare
wo saat aan pahunchi hai
nigah-e-wapsin ke muntazir hain TuTte tare
mujhe shayad himala ki falak-paimaiyan aawaz deti hain
main apni maut se
in barf-zaron ki daraKHshanda mayyat mein milungi
toD dungi halqa-e-zanjir mahjuri
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 449)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.