mayurka ke sāhiloñ pe kis qadar gulāb the
ki ḳhushbueñ thī be-tarah ki rañg be-hisāb the
tunuk-libāsiyāñ shanāvaroñ kī thiiñ qayāmateñ
tamām sīm-tan sharīk-e-jashn-e-shahr-e-āb the
shuā-e-mahr kī ziyā se the jigar jigar badan
qamar-jamāl jin ke aks-e-raushnī ke baab the
khulī fazā kī dhuup vo ki jism sāñvle kare
butān-e-āzarī ki mast-e-ġhusl-e-āftāb the
yahīñ pata chalā ki ziist husn hai bahār hai
yahīñ ḳhabar huī ki zindagī ke dukh sarāb the
yahīñ lagā ki gardishoñ ke zāviye badal ga.e
na roz o shab kī talḳhiyāñ na vaqt ke azaab the
mire tamām dost ajnabī rafāqatoñ meñ gum
mirī nazar meñ tere ḳhadd-o-ḳhāl tere ḳhvāb the
maiñ dūriyoñ ke bāvajūd tere aas paas thā
mayurka ke sāhiloñ pe maiñ bahut udaas thā
mayurka ke sahilon pe kis qadar gulab the
ki KHushbuen thi be-tarah ki rang be-hisab the
tunuk-libasiyan shanawaron ki thin qayamaten
tamam sim-tan sharik-e-jashn-e-shahr-e-ab the
shua-e-mahr ki ziya se the jigar jigar badan
qamar-jamal jin ke aks-e-raushni ke bab the
khuli faza ki dhup wo ki jism sanwle kare
butan-e-azari ki mast-e-ghusl-e-aftab the
yahin pata chala ki zist husn hai bahaar hai
yahin KHabar hui ki zindagi ke dukh sarab the
yahin laga ki gardishon ke zawiye badal gae
na roz o shab ki talKHiyan na waqt ke azab the
mere tamam dost ajnabi rafaqaton mein gum
meri nazar mein tere KHadd-o-KHal tere KHwab the
main duriyon ke bawajud tere aas pas tha
mayurka ke sahilon pe main bahut udas tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.