mazdur
bār-e-hastī se pareshān nazar aatā hai
rang-e-duniyā pe vo hairān nazar aatā hai
bazm-e-dānish meñ pashemān nazar aatā hai
yūrish-e-ġham se vo halkān nazar aatā hai
shiddat-e-karb se be-jān nazar aatā hai
paikar-e-dard vo insān nazar aatā hai
sub.h-dam khet meñ khaliyān meñ kohsāroñ meñ
shaam tak ret ke uThte hue tūfānoñ meñ
shāh-rāhoñ meñ kabhī shahr ke aivānoñ meñ
tang galiyoñ meñ kabhī gaañv ke maidānoñ meñ
shiddat-e-karb se be-jān nazar aatā hai
paikar-e-dard vo insān nazar aatā hai
pā-ba-zanjīr vo jakḌā huā ḳhar-kāroñ meñ
koh-o-sahrā meñ kabhī dasht meñ vīrānoñ meñ
mele Thele meñ kabhī aam guzargāhoñ meñ
sabza-zāroñ meñ kabhī ujḌe gulistānoñ meñ
shiddat-e-karb se be-jān nazar aatā hai
paikar-e-dard vo insān nazar aatā hai
reg-zāroñ meñ surangoñ meñ nihāñ-ḳhānoñ meñ
kisht-e-vīrāñ meñ kabhī gaañv ke khaliyānoñ meñ
rizq kī khoj meñ jangal meñ bayābānoñ meñ
sub.h tā-shām magan nit-na.e armānoñ meñ
shiddat-e-karb se be-jān nazar aatā hai
paikar-e-dard vo insān nazar aatā hai
shorish-e-dard se din-rāt sisaktā mazdūr
justujū-e-rah-e-manzil meñ bhaTaktā mazdūr
zeb-o-zīnat kī mahāfil se jhijhaktā mazdūr
apnī mehnat ke pasīne meñ mahaktā mazdūr
shiddat-e-karb se be-jān nazar aatā hai
paikar-e-dard vo insān nazar aatā hai
bar-e-hasti se pareshan nazar aata hai
rang-e-duniya pe wo hairan nazar aata hai
bazm-e-danish mein pasheman nazar aata hai
yurish-e-gham se wo halkan nazar aata hai
shiddat-e-karb se be-jaan nazar aata hai
paikar-e-dard wo insan nazar aata hai
subh-dam khet mein khaliyan mein kohsaron mein
sham tak ret ke uThte hue tufanon mein
shah-rahon mein kabhi shahr ke aiwanon mein
tang galiyon mein kabhi ganw ke maidanon mein
shiddat-e-karb se be-jaan nazar aata hai
paikar-e-dard wo insan nazar aata hai
pa-ba-zanjir wo jakDa hua KHar-karon mein
koh-o-sahra mein kabhi dasht mein viranon mein
mele Thele mein kabhi aam guzargahon mein
sabza-zaron mein kabhi ujDe gulistanon mein
shiddat-e-karb se be-jaan nazar aata hai
paikar-e-dard wo insan nazar aata hai
reg-zaron mein surangon mein nihan-KHanon mein
kisht-e-viran mein kabhi ganw ke khaliyanon mein
rizq ki khoj mein jangal mein bayabanon mein
subh ta-sham magan nit-nae armanon mein
shiddat-e-karb se be-jaan nazar aata hai
paikar-e-dard wo insan nazar aata hai
shorish-e-dard se din-raat sisakta mazdur
justuju-e-rah-e-manzil mein bhaTakta mazdur
zeb-o-zinat ki mahafil se jhijhakta mazdur
apni mehnat ke pasine mein mahakta mazdur
shiddat-e-karb se be-jaan nazar aata hai
paikar-e-dard wo insan nazar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.